Muntashir Tare Piro Kar Kahkashan Paida Karo, Urdu Ghazal By Shahid Najibabadi

Muntashir Tare Piro Kar Kahkashan Paida Karo is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shahid Najibabadi. Muntashir Tare Piro Kar Kahkashan Paida Karo comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Muntashir Tare Piro Kar Kahkashan Paida Karo on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

منتشر تارے پرو کر کہکشاں پیدا کرو

شاہد نجیب آبادی

منتشر تارے پرو کر کہکشاں پیدا کرو

بھیڑ سے افراد کی اک کارواں پیدا کرو

اور سب کچھ بعد میں اے صاحبان تخت و تاج

سب سے پہلے ملک میں امن و اماں پیدا کرو

سرخ رو کر دے تمہیں اک بار پھر اقوام میں

اپنے اندر ایسی وضع رفتگاں پیدا کرو

سعی پیہم اور ایماں لازم و ملزوم ہیں

مثل مروہ پاؤں سے آب رواں پیدا کرو

آہ سے مظلوم کی آتش فشاں بیدار کر

جو جلا کر خاک کر دے وہ فغاں پیدا کرو

غرق کر دو ظالموں کو دور استبداد کو

عرق پیشانی سے بحر بیکراں پیدا کرو

بستیاں آباد کر دو شہر جاں روشن کرو

شعلۂ سوز نہاں سے بجلیاں پیدا کرو

ہجرتیں کب تک کرو گے چرخ کہنہ کے تلے

اک زمیں محفوظ اور اک آسماں پیدا کرو

آسماں بندی کرو ہارو نہ ہرگز حوصلہ

ایک پر ہی بس نہیں سات آسماں پیدا کرو

کچھ ضروری تو نہیں شاہدؔ کہ لاؤ جوئے شیر

مشق تیشہ کے لئے کوہ گراں پیدا کرو

شاہد نجیب آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Muntashir Tare Piro Kar Kahkashan Paida Karo

Shahid Najibabadi

muntashir tare piro kar kahkashan paida karo
bhiD se afrad ki ek karwan paida karo

aur sab kuchh baad mein ai sahiban-e-taKHt-o-taj
sab se pahle mulk mein amn-o-aman paida karo

surKH-ru kar de tumhein ek bar phir aqwam mein
apne andar aisi waza-e-raftagan paida karo

sai-e-paiham aur iman lazim-o-malzum hain
misl-e-marwa paon se aab-e-rawan paida karo

aah se mazlum ki aatish-fishan bedar kar
jo jala kar KHak kar de wo fughan paida karo

gharq kar do zalimon ko daur-e-istibdad ko
arq-e-peshani se bahr-e-be-karan paida karo

bastiyan aabaad kar do shahr-e-jaan raushan karo
shoala-e-soz-e-nihan se bijliyan paida karo

hijraten kab tak karoge charKH-e-kohna ke tale
ek zamin mahfuz aur ek aasman paida karo

aasman-bandi karo haaro na hargiz hausla
ek par hi bas nahin sat aasman paida karo

kuchh zaruri to nahin 'shahid' ki lao ju-e-shir
mashq-e-tesha ke liye koh-e-giran paida karo

(385) ووٹ وصول ہوئے

You can read Muntashir Tare Piro Kar Kahkashan Paida Karo written by Shahid Najibabadi at UrduPoint. Muntashir Tare Piro Kar Kahkashan Paida Karo is one of the masterpieces written by Shahid Najibabadi. You can also find the complete poetry collection of Shahid Najibabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shahid Najibabadi' above.

Muntashir Tare Piro Kar Kahkashan Paida Karo is a widely read Urdu Ghazal. If you like Muntashir Tare Piro Kar Kahkashan Paida Karo, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.