Ab Tak The Wabasta Jo Alfaz Ke Tanon-banon Se, Urdu Ghazal By Shakeel Haidar

Ab Tak The Wabasta Jo Alfaz Ke Tanon-banon Se is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shakeel Haidar. Ab Tak The Wabasta Jo Alfaz Ke Tanon-banon Se comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ab Tak The Wabasta Jo Alfaz Ke Tanon-banon Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اب تک تھے وابستہ جو الفاظ کے تانوں بانوں سے

شکیل حیدر

اب تک تھے وابستہ جو الفاظ کے تانوں بانوں سے

اپنی قیمت مانگ رہے ہیں بے قدرے انسانوں سے

موجوں کے قرطاس پہ دیکھو دست قدرت کا عالم

ایک مقالہ لکھتا ہے وہ کتنے ہی عنوانوں سے

جب سے ہے سینے کے اندر ہر سو طاری سناٹا

وحشت ہے نہ خوف رہا ہے اس دل کو ویرانوں سے

کتنے ہی خورشید اگرچہ امیدوں کے ڈوب چکے

ایک دیا رکھا ہے روشن لڑنے کو طوفانوں سے

اس کی یادوں سے تم اب تک منہ کو پھیر کے بیٹھے ہو

ایسے کب روٹھا کرتے ہیں گھر آئے مہمانوں سے

اس نے بھی حلقہ میں اپنے فرزانوں کو ڈھونڈ لیا

ہم نے بھی کر لی ہے سنگت صحرا میں دیوانوں سے

ہم تو پتھر کی بستی میں شیشوں کے رکھوالے ہیں

زخموں کی تعداد نہ پوچھو ہم جیسے نادانوں سے

مٹی میں دفنا کر ایسے جھاڑ رہے ہیں ہاتھ سبھی

بوجھ اتارا ہے رشتوں کا جیسے اپنے شانوں سے

رندوں سے اب میخانے کا پوچھو نہ احوال شکیلؔ

رشتہ جب تم توڑ چکے ہو ساقی سے پیمانوں سے

شکیل حیدر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ab Tak The Wabasta Jo Alfaz Ke Tanon-banon Se

Shakeel Haidar

ab tak the wabasta jo alfaz ke tanon-banon se
apni qimat mang rahe hain be-qadre insanon se

maujon ke qirtas pe dekho dast-e-qudrat ka aalam
ek maqala likhta hai wo kitne hi unwanon se

jab se hai sine ke andar har-su tari sannaTa
wahshat hai na KHauf raha hai is dil ko viranon se

kitne hi KHurshid agarche ummidon ke Dub chuke
ek diya rakkha hai raushan laDne ko tufanon se

us ki yaadon se tum ab tak munh ko pher ke baiThe ho
aise kab ruTha karte hain ghar aae mehmanon se

us ne bhi halqe mein apne farzanon ko DhunD liya
hum ne bhi kar li hai sangat sahra mein diwanon se

hum to patthar ki basti mein shishon ke rakhwale hain
zaKHmon ki tadad na puchho hum jaise na-danon se

miTTi mein dafna kar aise jhaD rahe hain hath sabhi
bojh utara hai rishton ka jaise apne shanon se

rindon se ab maiKHane ka puchho na ahwal 'shakil'
rishta jab tum toD chuke ho saqi se paimanon se

(499) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ab Tak The Wabasta Jo Alfaz Ke Tanon-banon Se written by Shakeel Haidar at UrduPoint. Ab Tak The Wabasta Jo Alfaz Ke Tanon-banon Se is one of the masterpieces written by Shakeel Haidar. You can also find the complete poetry collection of Shakeel Haidar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shakeel Haidar' above.

Ab Tak The Wabasta Jo Alfaz Ke Tanon-banon Se is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ab Tak The Wabasta Jo Alfaz Ke Tanon-banon Se, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.