Din Ka Sukun Raat Ki Auqat Le Gai, Urdu Ghazal By Shakeel Moeen

Din Ka Sukun Raat Ki Auqat Le Gai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shakeel Moeen. Din Ka Sukun Raat Ki Auqat Le Gai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Din Ka Sukun Raat Ki Auqat Le Gai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دن کا سکون رات کی اوقات لے گئی

شکیل معین

دن کا سکون رات کی اوقات لے گئی

وہ گھر سے کیا گئی کہ خوشی ساتھ لے گئی

کچھ ابر کا مزاج ہی برہم تھا کھیت سے

رت اپنے ساتھ گاؤں کی برسات لے گئی

چڑیوں کو بھی درخت پہ رکنا نہیں پسند

پیپل کی دھوپ چھاؤں کی بارات لے گئی

کمرے میں میری میز پہ رکھے تھے کچھ خطوط

ان کو ہوائے شام تھی بد ذات لے گئی

دل کی اذاں پہ رات ہوا واقعہ شکیلؔ

میری نماز سب کی مناجات لے گئی

شکیل معین

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Din Ka Sukun Raat Ki Auqat Le Gai

Shakeel Moeen

din ka sukun raat ki auqat le gai
wo ghar se kya gai ki KHushi sath le gai

kuchh abr ka mizaj hi barham tha khet se
rut apne sath ganw ki barsat le gai

chiDiyon ko bhi daraKHt pe rukna nahin pasand
pipal ki dhup chhanw ki baraat le gai

kamre mein meri mez pe rakkhe the kuchh KHutut
un ko hawa-e-sham thi bad-zat le gai

dil ki azan pe raat hua waqia 'shakil'
meri namaz sab ki munajat le gai

(570) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Din Ka Sukun Raat Ki Auqat Le Gai written by Shakeel Moeen at UrduPoint. Din Ka Sukun Raat Ki Auqat Le Gai is one of the masterpieces written by Shakeel Moeen. You can also find the complete poetry collection of Shakeel Moeen by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shakeel Moeen' above.

Din Ka Sukun Raat Ki Auqat Le Gai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Din Ka Sukun Raat Ki Auqat Le Gai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.