Rida-e-ahani Har Aadmi Ke Sar Par Hai, Urdu Ghazal By Shamim Anwar

Rida-e-ahani Har Aadmi Ke Sar Par Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shamim Anwar. Rida-e-ahani Har Aadmi Ke Sar Par Hai comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Rida-e-ahani Har Aadmi Ke Sar Par Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ردائے آہنی ہر آدمی کے سر پر ہے

شمیم انور

ردائے آہنی ہر آدمی کے سر پر ہے

کہ جیسے سنگ کی بارش اسی نگر پر ہے

نہ کھو جو مٹھی میں انگلی کسی کی ہم سفرو

ہمارا قافلہ انجانی رہ گزر پر ہے

بچا رہا تھا جو کل رات کالی آندھی سے

وہ پھل چڑھا ہوا ہر شخص کی نظر پر ہے

وہ کون روئی تھی کاجل لگا کے آنکھوں میں

یہ دھبہ دھبہ سیاہی رخ سحر پر ہے

شکستہ حالی پہ ہر اینٹ جن کی ہنستی ہے

انہیں غرور اسی ٹوٹے پھوٹے گھر پر ہے

کب احترام کی خاطر جھکی مری گردن

کہ اک لٹکتی سی تلوار میرے سر پر ہے

صدا لگا کے کبھی کا چلا گیا کوئی

یہ بازگشت صدا کیوں تمہارے در پر ہے

ذرا پتہ تو لگائیں لہو ہے کیوں تازہ

جو اک زمانے سے محلوں کے اس کھنڈر پر ہے

چھپائے رکھنا تھا ایسے خوشی کے موقع پر

وہ ایک داغ جو پیشانیٔ ظفر پر ہے

بڑا ہی خوف لگا رہتا ہے پھسلنے کا

سفر ہمارا ابھی گیلی رہ گزر پر ہے

میں جھوٹ کیسے کہوں سچ تو کہہ نہیں سکتا

کچھ حاشیہ بھی لگا رات کی خبر پر ہے

شمیم انور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Rida-e-ahani Har Aadmi Ke Sar Par Hai

Shamim Anwar

rida-e-ahani har aadmi ke sar par hai
ki jaise sang ki barish isi nagar par hai

na kho jo muTThi mein ungli kisi ki ham-safaro
hamara qafila anjaani rahguzar par hai

bacha raha tha jo kal raat kali aandhi se
wo phal chaDha hua har shaKHs ki nazar par hai

wo kaun roi thi kajal laga ke aankhon mein
ye dhabba dhabba siyahi ruKH-e-sahar par hai

shikasta-haali pe har inT jin ki hansti hai
unhen ghurur usi TuTe phuTe ghar par hai

kab ehtiram ki KHatir jhuki meri gardan
ki ek laTakti si talwar mere sar par hai

sada laga ke kabhi ka chala gaya koi
ye bazgasht sada kyun tumhaare dar par hai

zara pata to lagaen lahu hai kyun taza
jo ek zamane se mahlon ke is khanDar par hai

chhupae rakhna tha aise KHushi ke mauqe par
wo ek dagh jo peshani-e-zafar par hai

baDa hi KHauf laga rahta hai phisalne ka
safar hamara abhi gili rahguzar par hai

main jhuT kaise kahun sach to kah nahin sakta
kuchh hashiya bhi laga raat ki KHabar par hai

(460) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Rida-e-ahani Har Aadmi Ke Sar Par Hai written by Shamim Anwar at UrduPoint. Rida-e-ahani Har Aadmi Ke Sar Par Hai is one of the masterpieces written by Shamim Anwar. You can also find the complete poetry collection of Shamim Anwar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shamim Anwar' above.

Rida-e-ahani Har Aadmi Ke Sar Par Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Rida-e-ahani Har Aadmi Ke Sar Par Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.