Mushtail Ho Gaya Wo Ghuncha-dahan Danista, Urdu Ghazal By Shams Ramzi

Mushtail Ho Gaya Wo Ghuncha-dahan Danista is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shams Ramzi. Mushtail Ho Gaya Wo Ghuncha-dahan Danista comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Mushtail Ho Gaya Wo Ghuncha-dahan Danista on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مشتعل ہو گیا وہ غنچہ دہن دانستہ

شمس رمزی

مشتعل ہو گیا وہ غنچہ دہن دانستہ

آ گئی لفظوں میں کیوں اس کے چبھن دانستہ

جب بھی لایا ہے وہ ماتھے پہ شکن دانستہ

یوں لگا جیسے ہوا چاند گہن دانستہ

ٹھیس لگتی ہے انا کو تو برس پڑتے ہیں

لب کشا ہوتے نہیں اہل سخن دانستہ

سربلندی ہمیں منظور تھی حق کی خاطر

اس لیے چوم لیے دار و رسن دانستہ

جتنے بھی اہل سیاست ہیں وطن دشمن ہیں

سب نے پھونکا ہے محبت کا چمن دانستہ

یہ بھی سچ اینٹ کا پتھر سے دیا ہم نے جواب

یہ بھی سچ بیر ہے ان سے نہ جلن دانستہ

اس سے بہتر کہاں اظہار غم دل کرتے

یوں تراشا کیے لفظوں کے بدن دانستہ

اس سے دشمن ہی نہیں موت بھی کترائے گی

جس نے بھی باندھ لیا سر سے کفن دانستہ

شاید اس دور کی تہذیب کو غیرت آئے

ہم نے چھیڑی ہے حکایات کہن دانستہ

جس کو وہ چاہے عطا کر دے یہ وصف تقدیس

کون پاتا ہے غزل کہنے کا فن دانستہ

سہمے سہمے سے ہیں پیڑوں پہ پرندے اے شمسؔ

اس نے گھولی ہے فضاؤں میں گھٹن دانستہ

شمس رمزی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mushtail Ho Gaya Wo Ghuncha-dahan Danista

Shams Ramzi

mushtail ho gaya wo ghuncha-dahan danista
aa gai lafzon mein kyun us ke chubhan danista

jab bhi laya hai wo mathe pe shikan danista
yun laga jaise hua chand-gahan danista

Thes lagti hai ana ko to baras paDte hain
lab-kusha hote nahin ahl-e-suKHan danista

sar-bulandi hamein manzur thi haq ki KHatir
is liye chum liye dar-o-rasan danista

jitne bhi ahl-e-siyasat hain watan-dushman hain
sab ne phunka hai mohabbat ka chaman danista

ye bhi sach inT ka patthar se diya hum ne jawab
ye bhi sach bair hai un se na jalan danista

is se behtar kahan izhaar-e-gham-e-dil karte
yun tarasha kiye lafzon ke badan danista

us se dushman hi nahin maut bhi katraegi
jis ne bhi bandh liya sar se kafan danista

shayad is daur ki tahzib ko ghairat aae
hum ne chheDi hai hikayat-e-kuhan danista

jis ko wo chahe ata kar de ye wasf-e-taqdis
kaun pata hai ghazal kahne ka fan danista

sahme sahme se hain peDon pe parinde ai shams'
us ne gholi hai fazaon mein ghuTan danista

(425) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mushtail Ho Gaya Wo Ghuncha-dahan Danista written by Shams Ramzi at UrduPoint. Mushtail Ho Gaya Wo Ghuncha-dahan Danista is one of the masterpieces written by Shams Ramzi. You can also find the complete poetry collection of Shams Ramzi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shams Ramzi' above.

Mushtail Ho Gaya Wo Ghuncha-dahan Danista is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mushtail Ho Gaya Wo Ghuncha-dahan Danista, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.