Gham Diye Hain To Masarrat Ke Guhar Bhi Dena, Urdu Ghazal By Shams Ramzi

Gham Diye Hain To Masarrat Ke Guhar Bhi Dena is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shams Ramzi. Gham Diye Hain To Masarrat Ke Guhar Bhi Dena comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gham Diye Hain To Masarrat Ke Guhar Bhi Dena on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

غم دیے ہیں تو مسرت کے گہر بھی دینا

شمس رمزی

غم دیے ہیں تو مسرت کے گہر بھی دینا

اے خدا تو مجھے جینے کا ہنر بھی دینا

حاکم وقت یہ ہجرت مجھے منظور مگر

دم رخصت مجھے سامان سفر بھی دینا

اے شب و روز کے مالک مجھے اس دنیا میں

لیلۃ القدر کی مانند سحر بھی دینا

سن ذرا غور سے سن اے شجر سایہ فگن

جب ترے سائے میں پہنچوں تو ثمر بھی دینا

لفظ نکلیں جو زباں سے تو دلوں تک پہنچیں

میری تقریر میں کچھ ایسا اثر بھی دینا

تیرے الطاف و کرم کی ہے بہر سو شہرت

مال و زر دے گا ہی تو لعل و گہر بھی دینا

تو جو شمشیر بکف ہو تو میں سر پیش کروں

جو ہیں دل والے انہیں آتا ہے سر بھی دینا

بخشنے والے زمانے کو جمال ہر رنگ

جو تجھے دیکھ سکے ایسی نظر بھی دینا

لے چلا میں تری جنت سے بیاباں کی طرف

سر چھپانے کو وہاں تو مجھے گھر بھی دینا

حرف آ جائے نہ تجھ پر کہیں کم ظرفی کا

دامن شمسؔ کو تو دیدۂ تر بھی دینا

شمس رمزی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gham Diye Hain To Masarrat Ke Guhar Bhi Dena

Shams Ramzi

gham diye hain to masarrat ke guhar bhi dena
ai KHuda tu mujhe jine ka hunar bhi dena

hakim-e-waqt ye hijrat mujhe manzur magar
dam-e-ruKHsat mujhe saman-e-safar bhi dena

ai shab-o-roz ke malik mujhe is duniya mein
lailatul-qadr ki manind sahar bhi dena

sun zara ghaur se sun ai shajar-e-saya-fagan
jab tere sae mein pahunchun to samar bhi dena

lafz niklen jo zaban se to dilon tak pahunchen
meri taqrir mein kuchh aisa asar bhi dena

tere altaf-o-karam ki hai bahar-su shohrat
mal-o-zar dega hi to lal-o-gohar bhi dena

tu jo shamshir-ba-kaf ho to main sar pesh karun
jo hain dil wale unhen aata hai sar bhi dena

baKHshne wale zamane ko jamal-e-har-rang
jo tujhe dekh sake aisi nazar bhi dena

le chala main teri jannat se bayaban ki taraf
sar chhupane ko wahan tu mujhe ghar bhi dena

harf aa jae na tujh par kahin kam-zarfi ka
daman-e-'shams' ko tu dida-e-tar bhi dena

(447) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gham Diye Hain To Masarrat Ke Guhar Bhi Dena written by Shams Ramzi at UrduPoint. Gham Diye Hain To Masarrat Ke Guhar Bhi Dena is one of the masterpieces written by Shams Ramzi. You can also find the complete poetry collection of Shams Ramzi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shams Ramzi' above.

Gham Diye Hain To Masarrat Ke Guhar Bhi Dena is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gham Diye Hain To Masarrat Ke Guhar Bhi Dena, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.