Raat Shahr Aur Uske Bachche, Urdu Nazam By Shamsur Rahman Faruqi

Raat Shahr Aur Uske Bachche is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Shamsur Rahman Faruqi. Raat Shahr Aur Uske Bachche comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Raat Shahr Aur Uske Bachche on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رات شہر اور اس کے بچے

شمس الرحمن فاروقی

سرد میدانوں پہ شبنم سخت

سکڑی شاہ راہوں منجمد گلیوں پہ

جالا نیند کا

مصروف لوگوں بے ارادہ گھومتے آوارہ

کا ہجوم بے دماغ اب تھم گیا ہے

رنڈیوں زنخوں اچکوں جیب کتروں لوطیوں

کی فوج استعمال کردہ جسم کے مانند ڈھیلی

پڑ گئی ہے

سنسناتی روشنی ہواؤں کی پھسلتی

گود میں چپ

اونگھتی ہے فرش اور دیوار و در

فٹ پاتھ

کھمبے

دھندلی محرابیں

دکانوں کے سیہ ویران زینے

سب کے ننگے جسم میں شب

نم ہوا کی سوئیاں بے خوف

اترتی کودتی دھومیں مچاتی ہیں

کچھ شکستہ تختوں کے پیچھے کئی

معصوم جانیں ہیں

خواب کم خوابی میں لرزاں

بال و پر میں سرد نشتر

بانس کی ہلکی اکہری بے حفاظت

ٹوکری میں

درجنوں مجبور طائر

زیر پر منقار منہ ڈھانپے خموشی کے سمندر بے نشاں میں

غرق بازو بستہ چپ

مخلوق خدا جو گول کالی گہری آنکھوں کے

نہ جانے کون سے منظر میں گم ہے

شمس الرحمن فاروقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Raat Shahr Aur Uske Bachche

Shamsur Rahman Faruqi

sard maidanon pe shabnam saKHt
sukDi sha-rahon munjamid galiyon pe

jala nind ka
masruf logon be-irada ghumte aawara

ka hujum be-dimagh ab tham gaya hai
ranDiyon zanKHon uchakkon jeb katron lutiyon

ki fauj istimal karda jism ke manind Dhili
paD gai hai

sansanati raushni hawaon ki phisalti
god mein chup

unghti hai farsh aur diwar o dar
fuT path

khambe
dhundli mehraben

dukanon ke siyah viran-zine
sab ke nange jism mein shab

nam hawa ki suiyan be-KHauf
utarti kudti dhumen machati hain

kuchh shikasta taKHton ke pichhe kai
masum jaanen hain

KHwab kam-KHwabi mein larzan
baal o par mein sard-nishtar

bans ki halki akahri be-hifazat
Tokari mein

darjanon majbur tair
zer-e-par minqar munh Dhanpe KHamoshi ke samundar-e-be-nishan mein

gharq bazu-basta chup
maKHluq KHuda jo gol kali gahri aankhon ke

na jaane kaun se manzar mein gum hai

(435) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Raat Shahr Aur Uske Bachche written by Shamsur Rahman Faruqi at UrduPoint. Raat Shahr Aur Uske Bachche is one of the masterpieces written by Shamsur Rahman Faruqi. You can also find the complete poetry collection of Shamsur Rahman Faruqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shamsur Rahman Faruqi' above.

Raat Shahr Aur Uske Bachche is a widely read Urdu Nazam. If you like Raat Shahr Aur Uske Bachche, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.