Kahan Kahan Teri Rangini-e-shabab Nahin, Urdu Ghazal By Shankar Lal Shankar

Kahan Kahan Teri Rangini-e-shabab Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shankar Lal Shankar. Kahan Kahan Teri Rangini-e-shabab Nahin comes under the Love category of Urdu Ghazal. You can read Kahan Kahan Teri Rangini-e-shabab Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کہاں کہاں تری رنگینئ شباب نہیں

شنکر لال شنکر

کہاں کہاں تری رنگینئ شباب نہیں

مرا مذاق نظر پھر بھی کامیاب نہیں

کسی نظر میں تمہیں دیکھنے کی تاب نہیں

نقاب رخ بھی الٹ دو تو بے نقاب نہیں

وہ سن کے عرض تمنا کو ہو گئے خاموش

مرے سوال کا شاید کوئی جواب نہیں

کچھ اور مست نگاہوں سے دیکھ اے ساقی

بقدر ظرف ابھی نشۂ شراب نہیں

بڑے بڑوں کے قدم ڈگمگا گئے ہیں یہاں

یہ امتحان کا اک دور ہے شباب نہیں

خموش بیٹھے ہیں جو پی چکے ہیں خم کے خم

بہک رہے ہیں جو آلودۂ شراب نہیں

تمہاری حسرت دیدار برقرار رہے

ہزار سال بھی گزریں تو کچھ حساب نہیں

لگی ہوئی ہیں تمہاری طرف مری آنکھیں

مری نظر میں زمانے کا انقلاب نہیں

کھلی ہوئی ترے آنے کے انتظار میں ہیں

خوشا نصیب وہ آنکھیں جو محو خواب نہیں

میں اپنے دوست سے کیا مجتنب ہوں اے شنکرؔ

مجھے تو اپنے عدو سے بھی اجتناب نہیں

شنکر لال شنکر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kahan Kahan Teri Rangini-e-shabab Nahin

Shankar Lal Shankar

kahan kahan teri rangini-e-shabab nahin
mera mazaq-e-nazar phir bhi kaamyab nahin

kisi nazar mein tumhein dekhne ki tab nahin
naqab-e-ruKH bhi ulaT do to be-naqab nahin

wo sun ke arz-e-tamanna ko ho gae KHamosh
mere sawal ka shayad koi jawab nahin

kuchh aur mast nigahon se dekh ai saqi
ba-qadr-e-zarf abhi nashsha-e-sharab nahin

baDe-baDon ke qadam Dagmaga gae hain yahan
ye imtihan ka ek daur hai shabab nahin

KHamosh baiThe hain jo pi chuke hain KHum ke KHum
bahak rahe hain jo aaluda-e-sharab nahin

tumhaari hasrat-e-didar barqarar rahe
hazar sal bhi guzrin to kuchh hisab nahin

lagi hui hain tumhaari taraf meri aankhen
meri nazar mein zamane ka inqalab nahin

khuli hui tere aane ke intizar mein hain
KHusha-nasib wo aankhen jo mahw-e-KHwab nahin

main apne dost se kya mujtanib hun ai 'shankar'
mujhe to apne adu se bhi ijtinab nahin

(451) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kahan Kahan Teri Rangini-e-shabab Nahin written by Shankar Lal Shankar at UrduPoint. Kahan Kahan Teri Rangini-e-shabab Nahin is one of the masterpieces written by Shankar Lal Shankar. You can also find the complete poetry collection of Shankar Lal Shankar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shankar Lal Shankar' above.

Kahan Kahan Teri Rangini-e-shabab Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kahan Kahan Teri Rangini-e-shabab Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.