Ibaadat Ke Waqt Mein Hissa, Urdu Nazam By Hariq Kaifi

Ibaadat Ke Waqt Mein Hissa is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Hariq Kaifi. Ibaadat Ke Waqt Mein Hissa comes under the Social category of Urdu Nazam. You can read Ibaadat Ke Waqt Mein Hissa on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عبادت کے وقت میں حصہ

شارق کیفی

عبادت میں

خدا کے وقت میں حصے کی خواہش

نہ جانے کیوں سبھی یادوں میں ہوتی ہے

کھڑا رہتا ہوں میں بس ہاتھ باندھے اک کنارے سے

مگر وہ قافلہ یادوں کا جیسے ختم ہونے میں نہیں آتا

کہاں سجدہ کروں میں؟

بھول جاتا ہوں کہ رکعت کون سی ہے

مصیبت ہے

گوارا ہی نہیں ان کو مرا مسجد میں آنا

مرا جنت میں جانا

ذرا سی دیر کی تو بات تھی

دو فرض پڑھنے تھے

اور اس کے بعد میں خالی ہی خالی تھا

مگر ان حاسدوں کو کون سمجھائے

کہیں یہ آج بھی شاید

مجھے کھونے سے ڈرتی ہیں

عبادت سے خدا کی

یہ جلن محسوس کرتی ہیں

انہیں سمجھائے کوئی

شارق کیفی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ibaadat Ke Waqt Mein Hissa

Hariq Kaifi

ibaadat mein
KHuda ke waqt mein hisse ki KHwahish
na jaane kyun sabhi yaadon mein hoti hai
khaDa rahta hun main bas hath bandhe ek kinare se
magar wo qafila yaadon ka jaise KHatm hone mein nahin aata
kahan sajda karun main?
bhul jata hun ki rakat kaun si hai
musibat hai
gawara hi nahin un ko mera masjid mein aana
mera jannat mein jaana
zara si der ki to baat thi
do farz paDhne the
aur is ke baad main KHali hi KHali tha
magar in hasidon ko kaun samjhae
kahin ye aaj bhi shayad
mujhe khone se Darti hain
ibaadat se KHuda ki
ye jalan mahsus karti hain
inhen samjhae koi

(373) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ibaadat Ke Waqt Mein Hissa written by Hariq Kaifi at UrduPoint. Ibaadat Ke Waqt Mein Hissa is one of the masterpieces written by Hariq Kaifi. You can also find the complete poetry collection of Hariq Kaifi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hariq Kaifi' above.

Ibaadat Ke Waqt Mein Hissa is a widely read Urdu Nazam. If you like Ibaadat Ke Waqt Mein Hissa, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.