Mahw-e-naghma Mera Qatil Jo Raha Karta Hai, Urdu Ghazal By Shauq Bahraichi

Mahw-e-naghma Mera Qatil Jo Raha Karta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shauq Bahraichi. Mahw-e-naghma Mera Qatil Jo Raha Karta Hai comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Mahw-e-naghma Mera Qatil Jo Raha Karta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محو نغمہ مرا قاتل جو رہا کرتا ہے

شوق بہرائچی

محو نغمہ مرا قاتل جو رہا کرتا ہے

فن موسیقی کو بھی ذبح کیا کرتا ہے

اک وہ ظالم ہی نہیں مجھ پہ جفا کرتا ہے

آسماں بھی اسی چکر میں رہا کرتا ہے

بارش کیف و ترنم کا سماں کیا کہئے

نغمہ جیسے لب مطرب سے چوا کرتا ہے

اب تو ہر بات پہ قرآن اٹھا لیتے ہیں

اب تو ایمان سپر بن کے بکا کرتا ہے

اٹھ گیا مے کدہ سے شیشۂ و ساغر کا رواج

اب تو چلو سے ہر اک رند پیا کرتا ہے

ساتھ تسبیح کے دانوں کے سنا ہے ہم نے

شیخ بریانی کی بوٹی بھی گنا کرتا ہے

میں جہاں میں کسی آئین کا پابند نہیں

میرے گھر آپ ہی قانون ڈھلا کرتا ہے

کیوں نہ واعظ کے تقدس کا اثر ہو دل پر

روز مے خانہ میں تسبیح پڑھا کرتا ہے

جس کو سمجھے ہوئے تھے صدق و صفا کا حامی

جھوٹ کی رسی وہی روز بٹا کرتا ہے

عزم بالجبر کے ہاتھوں جو ہوا ہو روشن

وہ دیا بھی کہیں جھونکوں سے بجھا کرتا ہے

اللہ اللہ یہ معراج محبت اے شوقؔ

حسن اب عشق کا پانی ہی بھرا کرتا ہے

شوق بہرائچی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mahw-e-naghma Mera Qatil Jo Raha Karta Hai

Shauq Bahraichi

mahw-e-naghma mera qatil jo raha karta hai
fann-e-mausiqi ko bhi zabh kiya karta hai

ek wo zalim hi nahin mujh pe jafa karta hai
aasman bhi isi chakkar mein raha karta hai

barish-e-kaif-o-tarannum ka saman kya kahiye
naghma jaise lab-e-mutrib se chua karta hai

ab to har baat pe quran uTha lete hain
ab to iman sipar ban ke bika karta hai

uTh gaya mai-kade se shisha-o-saghar ka riwaj
ab to chullu se har ek rind piya karta hai

sath tasbih ke danon ke suna hai hum ne
shaiKH biryani ki boTi bhi gina karta hai

main jahan mein kisi aain ka paband nahin
mere ghar aap hi qanun Dhala karta hai

kyun na waiz ke taqaddus ka asar ho dil par
roz mai-KHane mein tasbih paDha karta hai

jis ko samjhe hue the sidq-o-safa ka hami
jhuT ki rassi wahi roz baTa karta hai

azm-bil-jabr ke hathon jo hua ho raushan
wo diya bhi kahin jhonkon se bujha karta hai

allah allah ye mearaj-e-mohabbat ai 'shauq'
husn ab ishq ka pani hi bhara karta hai

(439) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mahw-e-naghma Mera Qatil Jo Raha Karta Hai written by Shauq Bahraichi at UrduPoint. Mahw-e-naghma Mera Qatil Jo Raha Karta Hai is one of the masterpieces written by Shauq Bahraichi. You can also find the complete poetry collection of Shauq Bahraichi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shauq Bahraichi' above.

Mahw-e-naghma Mera Qatil Jo Raha Karta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mahw-e-naghma Mera Qatil Jo Raha Karta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.