Tark-e-lazzat Pe Mail Jo Ba-zahir Hai Mizaj, Urdu Ghazal By Shauq Bahraichi

Tark-e-lazzat Pe Mail Jo Ba-zahir Hai Mizaj is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shauq Bahraichi. Tark-e-lazzat Pe Mail Jo Ba-zahir Hai Mizaj comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Tark-e-lazzat Pe Mail Jo Ba-zahir Hai Mizaj on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ترک لذات پہ مائل جو بظاہر ہے مزاج

شوق بہرائچی

ترک لذات پہ مائل جو بظاہر ہے مزاج

آج تو بگلا بھگت جیسے بنے ہیں مہراج

حسن مغرور و سیہ فام کا کیسے ہو علاج

شکل و صورت تو چڑیلوں کی ہے پریوں کے مزاج

چھوڑ آئے حرم پاک میں جنس ایماں

لاد کر لا نہ سکے جب کہ وطن تک حجاج

ایسے بھی بانیٔ بیداد ہیں کچھ دنیا میں

فلک پیر بھی دیتا ہے جنہیں جھک کے خراج

حسن کی جتنی زمیں ہوتی ہے ناقابل کاشت

عشق پیدا کیا کرتا ہے سدا سب میں اناج

سب کچھ اللہ نے دے رکھا ہے مال و زر و سیم

ہیں مگر اہل دول عقل و خرد کے محتاج

اس کے آئین نہیں اب جو عمل کے قابل

تو اسے کر دو رٹائر کہ پرانا ہے سماج

جب کبھی لوگ ترقی کی طرف بڑھتے ہیں

ٹانگ اڑا دیتے ہیں کمبخت یہی رسم و رواج

ہائے کیا پوچھتے ہو مردہ دلوں کا احوال

میاں زندہ ہیں مگر بیوہ ہیں ان کی ازواج

نا خدائی کیا کرتا ہے تلاطم خود ہی

کھیتی ہیں آپ ہی آ کر مری کشتی امواج

چین سے شیخ حرم عمر بسر کرتے ہیں

روپیہ بینک میں ہے ملتا ہے ماہانہ بیاج

کاگ اڑ اڑ کے یہ بوتل کے صدا دیتے ہیں

نشہ بندی کی سنا ہے کوئی میٹنگ ہے آج

اب تو جو چاہے کرے عشق وطن میں اے شوقؔ

حسن کچھ بول نہیں سکتا ہے دے کر سوراج

شوق بہرائچی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tark-e-lazzat Pe Mail Jo Ba-zahir Hai Mizaj

Shauq Bahraichi

tark-e-lazzat pe mail jo ba-zahir hai mizaj
aaj to bagula-bhagat jaise bane hain mahraj

husn-e-maghrur o siyah-fam ka kaise ho ilaj
shakl-o-surat to chuDelon ki hai pariyon ke mizaj

chhoD aae haram-e-pak mein jins-e-iman
lad kar la na sake jab ki watan tak hujjaj

aise bhi bani-e-be-dad hain kuchh duniya mein
falak-e-pir bhi deta hai jinhen jhuk ke KHiraj

husn ki jitni zamin hoti hai na-qabil-e-kasht
ishq paida kiya karta hai sada sab mein anaj

sab kuchh allah ne de rakkha hai mal-o-zar-o-sim
hain magar ahl-e-duwal aql-o-KHirad ke muhtaj

is ke aain nahin ab jo amal ke qabil
to ise kar do retire ki purana hai samaj

jab kabhi log taraqqi ki taraf baDhte hain
Tang uDa dete hain kambaKHt yahi rasm-o-riwaj

hae kya puchhte ho murda dilon ka ahwal
miyan zinda hain magar bewa hain un ki azwaj

na-KHudai kiya karta hai talatum KHud hi
kheti hain aap hi aa kar meri kashti amwaj

chain se shaiKH-e-haram umr basar karte hain
rupaya bank mein hai milta hai mahana byaj

kag uD uD ke ye botal ke sada dete hain
nashsha-bandi ki suna hai koi meeting hai aaj

ab tu jo chahe kare ishq-e-watan mein ai 'shauq'
husn kuchh bol nahin sakta hai de kar sauraj

(678) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tark-e-lazzat Pe Mail Jo Ba-zahir Hai Mizaj written by Shauq Bahraichi at UrduPoint. Tark-e-lazzat Pe Mail Jo Ba-zahir Hai Mizaj is one of the masterpieces written by Shauq Bahraichi. You can also find the complete poetry collection of Shauq Bahraichi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shauq Bahraichi' above.

Tark-e-lazzat Pe Mail Jo Ba-zahir Hai Mizaj is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tark-e-lazzat Pe Mail Jo Ba-zahir Hai Mizaj, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.