Mauj-e-hawa-e-shauq Use Paemal Kar, Urdu Ghazal By Shauq Mahri

Mauj-e-hawa-e-shauq Use Paemal Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shauq Mahri. Mauj-e-hawa-e-shauq Use Paemal Kar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mauj-e-hawa-e-shauq Use Paemal Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

موج ہوائے شوق اسے پائمال کر

شوق ماہری

موج ہوائے شوق اسے پائمال کر

رکھیں گے خاک دل کو کہاں تک سنبھال کر

افسردہ دل نہ ہو یہ سفر کی تکان ہے

دو چار گھونٹ پی کے طبیعت بحال کر

یہ ابر یہ بہار یہ طوفان رنگ و بو

اے دوست میری تشنہ لبی کا خیال کر

یہ منزل شباب ہے پر پیچ و پر خطر

اے پیکر جمال ذرا دیکھ بھال کر

ہر اہل دل کی میری طرف اٹھ گئی نظر

گزرے وہ یوں قریب سے دامن سنبھال کر

اے شوقؔ میں نے نظم و غزل جب کبھی کہی

کاغذ پہ رکھ دیا ہے کلیجہ نکال کر

شوق ماہری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mauj-e-hawa-e-shauq Use Paemal Kar

Shauq Mahri

mauj-e-hawa-e-shauq use paemal kar
rakkhenge KHak-e-dil ko kahan tak sanbhaal kar

afsurda-dil na ho ye safar ki takan hai
do-chaar ghunT pi ke tabiat bahaal kar

ye abr ye bahaar ye tufan-e-rang-o-bu
ai dost meri tishna-labi ka KHayal kar

ye manzil-e-shabab hai pur-pech-o-pur-KHatar
ai paikar-e-jamal zara dekh-bhaal kar

har ahl-e-dil ki meri taraf uTh gai nazar
guzre wo yun qarib se daman sanbhaal kar

ai 'shauq' main ne nazm-o-ghazal jab kabhi kahi
kaghaz pe rakh diya hai kaleja nikal kar

(403) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mauj-e-hawa-e-shauq Use Paemal Kar written by Shauq Mahri at UrduPoint. Mauj-e-hawa-e-shauq Use Paemal Kar is one of the masterpieces written by Shauq Mahri. You can also find the complete poetry collection of Shauq Mahri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shauq Mahri' above.

Mauj-e-hawa-e-shauq Use Paemal Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mauj-e-hawa-e-shauq Use Paemal Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.