Hui Ya Mujhse Nafrat Ya Kuchh IsMein Kibr-o-naz Aaya, Urdu Ghazal By Shauq Qidvai

Hui Ya Mujhse Nafrat Ya Kuchh IsMein Kibr-o-naz Aaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shauq Qidvai. Hui Ya Mujhse Nafrat Ya Kuchh IsMein Kibr-o-naz Aaya comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Hui Ya Mujhse Nafrat Ya Kuchh IsMein Kibr-o-naz Aaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہوئی یا مجھ سے نفرت یا کچھ اس میں کبر و ناز آیا

شوق قدوائی

ہوئی یا مجھ سے نفرت یا کچھ اس میں کبر و ناز آیا

کبھی وہ مسکرا دیتا تھا اب اس سے بھی باز آیا

نیا فتنہ جو نکلا کوئی تو تعلیم دلوانے

زمانہ لے کے اس کو پیش چشم فتنہ ساز آیا

بدلتی رہتی ہے ہر دم مری شکل اس قدر غم سے

گیا جب میں تو سمجھا وہ نیا اک عشق باز آیا

ہوئی دل کی خبر دل کو کہ وہ بد ظن ہوا ورنہ

نہ ٹپکے اشک آنکھوں سے نہ منہ تک حرف راز آیا

بچایا درد سے مجبور کر کے ترک الفت پر

وہ آیا دل شکن بن کر تو گویا دل نواز آیا

ترے ہاتھوں شکست دل میں لطف دل نوازی ہے

یہ کیا کم ہے کہ پہلو تک ترا دست دراز آیا

مگر تازہ ستم کو وہ مری صحت کا خواہاں ہے

کہ کل زخمی کیا اور آج بن کر چارہ ساز آیا

غبار راہ نے آنکھیں ملانے دیں نہ دل بھر کے

وہ میرے گھر جو آیا لے کے چشم نیم باز آیا

ہوا ہے شوقؔ مے خانہ میں داخل کس تکلف سے

بچھانے کے لئے مسجد سے لے کر جانماز آیا

شوق قدوائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hui Ya Mujhse Nafrat Ya Kuchh IsMein Kibr-o-naz Aaya

Shauq Qidvai

hui ya mujh se nafrat ya kuchh is mein kibr-o-naz aaya
kabhi wo muskura deta tha ab is se bhi baz aaya

naya fitna jo nikla koi to talim dilwane
zamana le ke us ko pesh-e-chashm-e-fitna-saz aaya

badalti rahti hai har dam meri shakl is qadar gham se
gaya jab main to samjha wo naya ek ishq-baz aaya

hui dil ki KHabar dil ko ki wo bad-zan hua warna
na Tapke ashk aankhon se na munh tak harf-e-raaz aaya

bachaya dard se majbur kar ke tark-e-ulfat par
wo aaya dil-shikan ban kar to goya dil-nawaz aaya

tere hathon shikast-e-dil mein lutf-e-dil-nawazi hai
ye kya kam hai ki pahlu tak tera dast-e-daraaz aaya

magar taza sitam ko wo meri sehat ka KHwahan hai
ki kal zaKHmi kiya aur aaj ban kar chaarasaz aaya

ghubar-e-rah ne aankhen milane din na dil bhar ke
wo mere ghar jo aaya le ke chashm-e-nim-baz aaya

hua hai 'shauq' mai-KHane mein daKHil kis takalluf se
bichhane ke liye masjid se le kar ja-namaz aaya

(462) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hui Ya Mujhse Nafrat Ya Kuchh IsMein Kibr-o-naz Aaya written by Shauq Qidvai at UrduPoint. Hui Ya Mujhse Nafrat Ya Kuchh IsMein Kibr-o-naz Aaya is one of the masterpieces written by Shauq Qidvai. You can also find the complete poetry collection of Shauq Qidvai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shauq Qidvai' above.

Hui Ya Mujhse Nafrat Ya Kuchh IsMein Kibr-o-naz Aaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hui Ya Mujhse Nafrat Ya Kuchh IsMein Kibr-o-naz Aaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.