Mare Ghusse Ke Ghazab Ki Tab RuKHsaron Mein Hai, Urdu Ghazal By Shauq Qidvai

Mare Ghusse Ke Ghazab Ki Tab RuKHsaron Mein Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shauq Qidvai. Mare Ghusse Ke Ghazab Ki Tab RuKHsaron Mein Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mare Ghusse Ke Ghazab Ki Tab RuKHsaron Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مارے غصے کے غضب کی تاب رخساروں میں ہے

شوق قدوائی

مارے غصے کے غضب کی تاب رخساروں میں ہے

کل تو تھی پھولوں میں گنتی آج انگاروں میں ہے

تب کی سوزش سے مرے چہرے کی سرخی دیکھنا

کچھ تمہیں خوش رو نہیں یہ پھر طرح داروں میں ہے

روح تیرے گھر کو چھوڑے یہ کبھی ممکن نہیں

جسم میرا خاک ہو کر اس کی دیواروں میں ہے

اتنی زردی ساری دنیا کی خزاں میں بھی نہ ہو

جتنی اور ظالم تری الفت کے بیماروں میں ہے

یا گھٹے کچھ عشق میرا یا بڑھے دنیا میں حسن

یہ تو نا کافی ہے جتنا ان دل آزاروں میں ہے

آئنے میں ڈالتا ہے رخ پہ میری سی نگاہ

تو بھی میرے ساتھ الفت کے گنہ گاروں میں ہے

قدرت اتنے ناز پیدا کر سکے گی یا نہیں

ان کا جتنا صرف تیرے ناز برداروں میں ہے

مسئلہ کثرت میں وحدت کا ہوا حل تم سے خوب

ایک ہی جھوٹ اور تمہارے لاکھ اقراروں میں ہے

قید میں کتنی بڑھی میرے جنوں کی کاہلی

اس سے کم ہے جتنی دنیا بھر کے بے کاروں میں ہے

چاند ہی کہہ دے جو دیکھا ہو کہیں تجھ سا حسیں

اس نے بھی دیکھی ہے دنیا یہ بھی سیاروں میں ہے

کفر نے اسلام کو شاید کہیں مارا کہ شوقؔ

ماتمی پوشاک سے کعبہ عزاداروں میں ہے

شوق قدوائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mare Ghusse Ke Ghazab Ki Tab RuKHsaron Mein Hai

Shauq Qidvai

mare ghusse ke ghazab ki tab ruKHsaron mein hai
kal to thi phulon mein ginti aaj angaron mein hai

tab ki sozish se mere chehre ki surKHi dekhna
kuchh tumhein KHush-ru nahin ye phir tarah-daron mein hai

ruh tere ghar ko chhoDe ye kabhi mumkin nahin
jism mera KHak ho kar us ki diwaron mein hai

itni zardi sari duniya ki KHizan mein bhi na ho
jitni aur zalim teri ulfat ke bimaron mein hai

ya ghaTe kuchh ishq mera ya baDhe duniya mein husn
ye to na-kafi hai jitna un dil-azaron mein hai

aaine mein Dalta hai ruKH pe meri si nigah
tu bhi mere sath ulfat ke gunahgaron mein hai

qudrat itne naz paida kar sakegi ya nahin
un ka jitna sarf tere naz-bardaron mein hai

masala kasrat mein wahdat ka hua hal tum se KHub
ek hi jhuT aur tumhaare lakh iqraron mein hai

qaid mein kitni baDhi mere junun ki kahili
us se kam hai jitni duniya bhar ke be-karon mein hai

chand hi kah de jo dekha ho kahin tujh sa hasin
us ne bhi dekhi hai duniya ye bhi sayyaron mein hai

kufr ne islam ko shayad kahin mara ki 'shauq'
matami poshak se kaba azadaron mein hai

(467) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mare Ghusse Ke Ghazab Ki Tab RuKHsaron Mein Hai written by Shauq Qidvai at UrduPoint. Mare Ghusse Ke Ghazab Ki Tab RuKHsaron Mein Hai is one of the masterpieces written by Shauq Qidvai. You can also find the complete poetry collection of Shauq Qidvai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shauq Qidvai' above.

Mare Ghusse Ke Ghazab Ki Tab RuKHsaron Mein Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mare Ghusse Ke Ghazab Ki Tab RuKHsaron Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.