Zawiye Fikr Ke Ab Aur Banao Yaro, Urdu Ghazal By Shauq Salki

Zawiye Fikr Ke Ab Aur Banao Yaro is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shauq Salki. Zawiye Fikr Ke Ab Aur Banao Yaro comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zawiye Fikr Ke Ab Aur Banao Yaro on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زاویے فکر کے اب اور بناؤ یارو

شوق سالکی

زاویے فکر کے اب اور بناؤ یارو

بات کاغذ پہ نئے ڈھنگ سے لاؤ یارو

کر دیے سرد مسرت کی گھٹا نے جذبات

روح کو غم کی ذرا دھوپ دکھاؤ یارو

جنگ اخلاق و محبت سے بھی ہو سکتی ہے

اپنے دشمن پہ نہ تلوار اٹھاؤ یارو

جس کو ہر قوم کی تہذیب گوارا کر لے

ایسا دستور کوئی سامنے لاؤ یارو

انتہا نور کی آنکھوں میں نہ ظلمت بھر دے

روشنی حد سے زیادہ نہ بڑھاؤ یارو

میرا مقصد ہے ملاقات غرض کچھ بھی نہیں

مجھ کو اترے ہوئے چہرے نہ دکھاؤ یارو

منزلیں زیر قدم جلد سمٹ آئیں گی

جذبۂ شوقؔ ذرا اور بڑھاؤ یارو

شوق سالکی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zawiye Fikr Ke Ab Aur Banao Yaro

Shauq Salki

zawiye fikr ke ab aur banao yaro
baat kaghaz pe nae Dhang se lao yaro

kar diye sard masarrat ki ghaTa ne jazbaat
ruh ko gham ki zara dhup dikhao yaro

jang aKHlaq-o-mohabbat se bhi ho sakti hai
apne dushman pe na talwar uThao yaro

jis ko har qaum ki tahzib gawara kar le
aisa dastur koi samne lao yaro

intiha nur ki aankhon mein na zulmat bhar de
raushni had se ziyaada na baDhao yaro

mera maqsad hai mulaqat gharaz kuchh bhi nahin
mujh ko utre hue chehre na dikhao yaro

manzilen zer-e-qadam jald simaT aaengi
jazba-e-'shauq' zara aur baDhao yaro

(195) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zawiye Fikr Ke Ab Aur Banao Yaro written by Shauq Salki at UrduPoint. Zawiye Fikr Ke Ab Aur Banao Yaro is one of the masterpieces written by Shauq Salki. You can also find the complete poetry collection of Shauq Salki by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shauq Salki' above.

Zawiye Fikr Ke Ab Aur Banao Yaro is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zawiye Fikr Ke Ab Aur Banao Yaro, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.