Gul-e-KHush-numa Ke Libas Mein Ki Shua-e-nur Hain Dhal Ke Aa, Urdu Ghazal By Shayar Fatehpuri

Gul-e-KHush-numa Ke Libas Mein Ki Shua-e-nur Hain Dhal Ke Aa is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shayar Fatehpuri. Gul-e-KHush-numa Ke Libas Mein Ki Shua-e-nur Hain Dhal Ke Aa comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gul-e-KHush-numa Ke Libas Mein Ki Shua-e-nur Hain Dhal Ke Aa on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گل خوش نما کے لباس میں کہ شعاع نور ہیں ڈھل کے آ

شاعر فتح پوری

گل خوش نما کے لباس میں کہ شعاع نور ہیں ڈھل کے آ

تجھے ڈھونڈھ لے گی مری نظر تو ہزار رنگ بدل کے آ

ترے دل کی آگ حقیقتاً ترے حق میں فصل بہار ہے

جو بجھائے سے بھی نہ بجھ سکے اسی دل کی آگ میں جل کے آ

تری جستجو بھی حجاب ہے تری آرزو بھی حجاب ہے

کبھی دام عقل و شعور سے جو نکل سکے تو نکل کے آ

یہ ہے اہل ظرف کی انجمن یہ ہے اہل عشق کا میکدہ

تو ہزار نشہ میں چور ہو جو یہاں پہ آ تو سنبھل کے آ

مہ و مہر میں بھی ہے دل کشی مگر اس کی بات ہے اور ہی

تجھے آرزوئے جمال ہے تو حریم ناز میں چل کے آ

یہ جنون عشق کی شان ہے تجھے لوگ کچھ بھی کہا کریں

جو عطائے کوئے حبیب ہے وہی خاک چہرہ پہ مل کے آ

تو ہزار پردہ کیا کرے نہ چھپے گی حسن کی دل کشی

وہ لباس کہنہ پہن کے آ کہ نیا لباس بدل کے آ

اثر آفرین بہار ہے تری فکر شاعرؔ خوش نوا

جنہیں چھو سکے نہ خزاں کبھی وہی پھول لے کے غزل کے آ

شاعر فتح پوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gul-e-KHush-numa Ke Libas Mein Ki Shua-e-nur Hain Dhal Ke Aa

Shayar Fatehpuri

gul-e-KHush-numa ke libas mein ki shua-e-nur hain Dhal ke aa
tujhe DhunDh legi meri nazar tu hazar rang badal ke aa

tere dil ki aag haqiqatan tere haq mein fasl-e-bahaar hai
jo bujhae se bhi na bujh sake usi dil ki aag mein jal ke aa

teri justuju bhi hijab hai teri aarzu bhi hijab hai
kabhi dam-e-aql-o-shuur se jo nikal sake to nikal ke aa

ye hai ahl-e-zarf ki anjuman ye hai ahl-e-ishq ka mai-kada
tu hazar nashsha mein chur ho jo yahan pe aa to sanbhal ke aa

mah-o-mehr mein bhi hai dilkashi magar is ki baat hai aur hi
tujhe aarzu-e-jamal hai tu harim-e-naz mein chal ke aa

ye junun-e-ishq ki shan hai tujhe log kuchh bhi kaha karen
jo ata-e-ku-e-habib hai wahi KHak chehre pe mal ke aa

tu hazar parda kiya kare na chhupegi husn ki dilkashi
wo libas-e-kohna pahan ke aa ki naya libas badal ke aa

asar-afrin-e-bahaar hai teri fikr 'shair'-e-KHush-nawa
jinhen chhu sake na KHizan kabhi wahi phul le ke ghazal ke aa

(468) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gul-e-KHush-numa Ke Libas Mein Ki Shua-e-nur Hain Dhal Ke Aa written by Shayar Fatehpuri at UrduPoint. Gul-e-KHush-numa Ke Libas Mein Ki Shua-e-nur Hain Dhal Ke Aa is one of the masterpieces written by Shayar Fatehpuri. You can also find the complete poetry collection of Shayar Fatehpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shayar Fatehpuri' above.

Gul-e-KHush-numa Ke Libas Mein Ki Shua-e-nur Hain Dhal Ke Aa is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gul-e-KHush-numa Ke Libas Mein Ki Shua-e-nur Hain Dhal Ke Aa, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.