Rabab-e-husn Hai Ya Koi Saz-e-ulfat Hai, Urdu Ghazal By Shola Kararvi

Rabab-e-husn Hai Ya Koi Saz-e-ulfat Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shola Kararvi. Rabab-e-husn Hai Ya Koi Saz-e-ulfat Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Rabab-e-husn Hai Ya Koi Saz-e-ulfat Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رباب حسن ہے یا کوئی ساز الفت ہے

شعلہ کراروی

رباب حسن ہے یا کوئی ساز الفت ہے

سمجھ میں آ نہ سکی دل کی جو حقیقت ہے

کدورتوں سے یہ اہل جہاں کی حالت ہے

نہ اب دلوں میں صفائی نہ رسم الفت ہے

مریض ہجر کی اب کچھ عجیب حالت ہے

نہ ہوش ہی میں ہے اپنے نہ خواب غفلت ہے

بنے جو اور بگڑ جائے ہے مری تقدیر

بگڑ بگڑ کے بنے جو عدو کی قسمت ہے

قدم قدم پہ ہیں صحرا کے خار دامن گیر

وفا کی راہ میں ہر گام پر مصیبت ہے

زباں کھلے گی نہ محشر میں سامنے ان کے

کرے جو حشر میں فریاد کس کی جرأت ہے

گلوں کا کھل کے بکھرنا ہے آئنہ غم کا

چمن کا یوں تو ہر اک پتہ نقش عبرت ہے

بکھر رہا ہے کتاب جہاں کا شیرازہ

قیامت آنے سے پہلے یہ کیا قیامت ہے

سمٹ کے آ گئی پہلو میں کائنات جہاں

سمجھ میں آ نہیں سکتی جو دل کی وسعت ہے

یہ ذوق‌‌ شعر و سخن فطرتاً ہے اے شعلہؔ

نمود و نام کی خواہش نہ فکر شہرت ہے

شعلہ کراروی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Rabab-e-husn Hai Ya Koi Saz-e-ulfat Hai

Shola Kararvi

rabab-e-husn hai ya koi saz-e-ulfat hai
samajh mein aa na saki dil ki jo haqiqat hai

kuduraton se ye ahl-e-jahan ki haalat hai
na ab dilon mein safai na rasm-e-ulfat hai

mariz-e-hijr ki ab kuchh ajib haalat hai
na hosh hi mein hai apne na KHwab-e-ghaflat hai

bane jo aur bigaD jae hai meri taqdir
bigaD bigaD ke bane jo adu ki qismat hai

qadam qadam pe hain sahra ke KHar daman-gir
wafa ki rah mein har-gam par musibat hai

zaban khulegi na mahshar mein samne un ke
kare jo hashr mein fariyaad kis ki jurat hai

gulon ka khul ke bikharna hai aaina gham ka
chaman ka yun to har ek patta naqsh-e-ibrat hai

bikhar raha hai kitab-e-jahan ka shiraaza
qayamat aane se pahle ye kya qayamat hai

simaT ke aa gai pahlu mein kaenat-e-jahan
samajh mein aa nahin sakti jo dil ki wusat hai

ye zauq-e-sher-o-suKHan fitratan hai ai 'shoala'
numud-o-nam ki KHwahish na fikr-e-shohrat hai

(441) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Rabab-e-husn Hai Ya Koi Saz-e-ulfat Hai written by Shola Kararvi at UrduPoint. Rabab-e-husn Hai Ya Koi Saz-e-ulfat Hai is one of the masterpieces written by Shola Kararvi. You can also find the complete poetry collection of Shola Kararvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shola Kararvi' above.

Rabab-e-husn Hai Ya Koi Saz-e-ulfat Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Rabab-e-husn Hai Ya Koi Saz-e-ulfat Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.