Ranj-e-duniya Fikr-e-uqba Jaane Kya Kya Dil Mein Hai, Urdu Ghazal By Shola Kararvi

Ranj-e-duniya Fikr-e-uqba Jaane Kya Kya Dil Mein Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shola Kararvi. Ranj-e-duniya Fikr-e-uqba Jaane Kya Kya Dil Mein Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ranj-e-duniya Fikr-e-uqba Jaane Kya Kya Dil Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رنج دنیا فکر عقبیٰ جانے کیا کیا دل میں ہے

شعلہ کراروی

رنج دنیا فکر عقبیٰ جانے کیا کیا دل میں ہے

زندگی دو دن کی اپنی سیکڑوں مشکل میں ہے

راہ الفت میں بہت کچھ خاک بھی چھانی مگر

میری جانب سے غبار اب تک کسی کے دل میں ہے

وہ جفا پیشہ جفا جو ہے جفا اس کی سرشت

جس کو کہتے ہیں وفا وہ میرے آب و گل میں ہے

تہہ نشیں ہو کر ملی موج حوادث سے نجات

کشتئ عمر رواں اب دامن ساحل میں ہے

سخت جانی سے مری پالا اگر پڑتا اسے

دیکھتا پھر زور کتنا بازوئے قاتل میں ہے

اپنی اپنی گا رہے ہیں دونوں شیخ و برہمن

دیر و کعبہ میں کہاں ہے جو حریم دل میں ہے

مرحلے ہر روز انساں کو نئے آتے ہیں پیش

آج اس منزل میں ہے کل دوسری منزل میں ہے

کچھ تو پاس حسن کچھ ان کی نظر کا سامنا

وہ زباں پر لا نہیں سکتا جو میرے دل میں ہے

جانتا ہوں گو مآل حضرت آدم مگر

کوئے جاناں کی تمنا پھر بھی میرے دل میں ہے

دیکھیے آئینۂ پیری میں پھر بچپن کا حال

عہد ماضی کی جھلک کچھ عہد مستقبل میں ہے

سوچ کر فریاد کا انجام میں خاموش ہوں

ورنہ اب بھی قوت فریاد میرے دل میں ہے

ہے شکست بے ستوں معیار استعداد عشق

کوہ کن کا نام فرد جوہر قابل میں ہے

عشق مجنوں نے کچھ اونچا کر دیا معیار حسن

ورنہ لیلیٰ کی حقیقت پردۂ محمل میں ہے

کوئی ہے ساغر بکف کوئی صراحی در بغل

تشنہ کام اب تک مگر شعلہؔ تری محفل میں ہے

شعلہ کراروی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ranj-e-duniya Fikr-e-uqba Jaane Kya Kya Dil Mein Hai

Shola Kararvi

ranj-e-duniya fikr-e-uqba jaane kya kya dil mein hai
zindagi do din ki apni saikDon mushkil mein hai

rah-e-ulfat mein bahut kuchh KHak bhi chhani magar
meri jaanib se ghubar ab tak kisi ke dil mein hai

wo jafa-pesha jafa-ju hai jafa us ki sarisht
jis ko kahte hain wafa wo mere aab-o-gil mein hai

tah-nashin ho kar mili mauj-e-hawadis se najat
kashti-e-umr-e-rawan ab daman-e-sahil mein hai

saKHt-jaani se meri pala agar paDta use
dekhta phir zor kitna bazu-e-qatil mein hai

apni apni ga rahe hain donon shaiKH-o-barahman
dair-o-kaba mein kahan hai jo harim-e-dil mein hai

marhale har roz insan ko nae aate hain pesh
aaj us manzil mein hai kal dusri manzil mein hai

kuchh to pas-e-husn kuchh un ki nazar ka samna
wo zaban par la nahin sakta jo mere dil mein hai

jaanta hun go maal-e-hazrat-e-adam magar
ku-e-jaanan ki tamanna phir bhi mere dil mein hai

dekhiye aaina-e-piri mein phir bachpan ka haal
ahd-e-mazi ki jhalak kuchh ahd-e-mustaqbil mein hai

soch kar fariyaad ka anjam main KHamosh hun
warna ab bhi quwwat-e-fariyaad mere dil mein hai

hai shikast-e-be-sutun mear-e-istedad-e-ishq
kohkan ka nam fard-e-jauhar-e-qabil mein hai

ishq-e-majnun ne kuchh uncha kar diya meyar-e-husn
warna laila ki haqiqat parda-e-mahmil mein hai

koi hai saghar-ba-kaf koi surahi-dar-baghal
tishna-kaam ab tak magar 'shoala' teri mahfil mein hai

(408) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ranj-e-duniya Fikr-e-uqba Jaane Kya Kya Dil Mein Hai written by Shola Kararvi at UrduPoint. Ranj-e-duniya Fikr-e-uqba Jaane Kya Kya Dil Mein Hai is one of the masterpieces written by Shola Kararvi. You can also find the complete poetry collection of Shola Kararvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shola Kararvi' above.

Ranj-e-duniya Fikr-e-uqba Jaane Kya Kya Dil Mein Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ranj-e-duniya Fikr-e-uqba Jaane Kya Kya Dil Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.