Duniya Apni ChhoTi Si, Urdu Ghazal By Sohail Azad

Duniya Apni ChhoTi Si is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sohail Azad. Duniya Apni ChhoTi Si comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Duniya Apni ChhoTi Si on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دنیا اپنی چھوٹی سی

سہیل آزاد

دنیا اپنی چھوٹی سی

سر پر گٹھری چھوٹی سی

اگلی سڑک کا آخری گھر

گھر میں کھڑکی چھوٹی سی

کیسے اجڑی کسے خبر

دل کی نگری چھوٹی سی

کس صحرا کی نذر ہوئی

ایک ندی تھی چھوٹی سی

کاندھوں پر جگ بھر کا دکھ

سر پر گگری چھوٹی سی

اس کے ہونٹوں پر آباد

ایک دعا تھی چھوٹی سی

ہاتھ میں اک بھاری بستہ

اور اک تختی چھوٹی سی

آؤ اسے بھی یاد کریں

نیند کی بستی چھوٹی سی

نینی تال کی بارش تیز

اور یہ چھتری چھوٹی سی

سہیل آزاد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Duniya Apni ChhoTi Si

Sohail Azad

duniya apni chhoTi si
sar par gaThri chhoTi si

agli saDak ka aaKHiri ghar
ghar mein khiDki chhoTi si

kaise ujDi kise KHabar
dil ki nagri chhoTi si

kis sahra ki nazr hui
ek nadi thi chhoTi si

kandhon par jug bhar ka dukh
sar par gagri chhoTi si

us ke honTon par aabaad
ek dua thi chhoTi si

hath mein ek bhaari basta
aur ek taKHti chhoTi si

aao use bhi yaad karen
nind ki basti chhoTi si

nainital ki barish tez
aur ye chhatri chhoTi si

(402) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Duniya Apni ChhoTi Si written by Sohail Azad at UrduPoint. Duniya Apni ChhoTi Si is one of the masterpieces written by Sohail Azad. You can also find the complete poetry collection of Sohail Azad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sohail Azad' above.

Duniya Apni ChhoTi Si is a widely read Urdu Ghazal. If you like Duniya Apni ChhoTi Si, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.