Ye Hijr Ye Lamhe Furqat Ke Is Taur Hamein TaDpaen To, Urdu Ghazal By Sufiya Deepika Kausar

Ye Hijr Ye Lamhe Furqat Ke Is Taur Hamein TaDpaen To is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sufiya Deepika Kausar. Ye Hijr Ye Lamhe Furqat Ke Is Taur Hamein TaDpaen To comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Hijr Ye Lamhe Furqat Ke Is Taur Hamein TaDpaen To on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ ہجر یہ لمحے فرقت کے اس طور ہمیں تڑپائیں تو

صوفیہ دیپیکا کوثر

یہ ہجر یہ لمحے فرقت کے اس طور ہمیں تڑپائیں تو

اس آگ میں جلتے جلتے ہم اے یار کہیں جل جائیں تو

کیسا ہے تکلف محفل میں آتے بھی نہیں جاتے بھی نہیں

ہم آس لگائے بیٹھے ہیں پردہ وہ ذرا سرکائیں تو

امید بہ دل رندان طلب ہاتھوں میں پیالہ تھامے ہیں

میخانے میں ان کے مر جائیں وہ آنکھ سے مے برسائیں تو

خاموش ہے بلبل گلشن میں ہے باد بہاری بھی ساکت

جنبش تو کریں لب ان کے ذرا خلوت سے وہ کچھ فرمائیں تو

اکثر ہی تصور کرتے ہیں اس رات کا عالم کیا ہوگا

آہٹ نہ کریں وہ چپکے سے پہلو میں مرے آ جائیں تو

تیری ہی بدولت تو اپنی راتوں کا سکوں برباد ہوا

ایسے میں تجھے ہم جذبۂ دل گھبرا کے اگر دفنائیں تو

کس کو ہے خبر اس دنیا میں کوثرؔ ہے کہاں جنت ہے کہاں

دنیا کے یہ رہبر آ کے ذرا یہ راز ہمیں سمجھائیں تو

صوفیہ دیپیکا کوثر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Hijr Ye Lamhe Furqat Ke Is Taur Hamein TaDpaen To

Sufiya Deepika Kausar

ye hijr ye lamhe furqat ke is taur hamein taDpaen to
is aag mein jalte jalte hum ai yar kahin jal jaen to

kaisa hai takalluf mahfil mein aate bhi nahin jate bhi nahin
hum aas lagae baiThe hain parda wo zara sarkaen to

ummid-ba-dil rindan-e-talab hathon mein piyala thame hain
maiKHane mein un ke mar jaen wo aankh se mai barsaen to

KHamosh hai bulbul gulshan mein hai baad-e-bahaari bhi sakit
jumbish to karen lab un ke zara KHalwat se wo kuchh farmaen to

aksar hi tasawwur karte hain is raat ka aalam kya hoga
aahaT na karen wo chupke se pahlu mein mere aa jaen to

teri hi badaulat to apni raaton ka sukun barbaad hua
aise mein tujhe hum jazba-e-dil ghabra ke agar dafnaen to

kis ko hai KHabar is duniya mein 'kausar' hai kahan jannat hai kahan
duniya ke ye rahbar aa ke zara ye raaz hamein samjhaen to

(455) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Hijr Ye Lamhe Furqat Ke Is Taur Hamein TaDpaen To written by Sufiya Deepika Kausar at UrduPoint. Ye Hijr Ye Lamhe Furqat Ke Is Taur Hamein TaDpaen To is one of the masterpieces written by Sufiya Deepika Kausar. You can also find the complete poetry collection of Sufiya Deepika Kausar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sufiya Deepika Kausar' above.

Ye Hijr Ye Lamhe Furqat Ke Is Taur Hamein TaDpaen To is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Hijr Ye Lamhe Furqat Ke Is Taur Hamein TaDpaen To, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.