Ajab Insan Hun KHush-fahmiyon Ke Ghar Mein Rahta Hun, Urdu Ghazal By Sultan Rashk

Ajab Insan Hun KHush-fahmiyon Ke Ghar Mein Rahta Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sultan Rashk. Ajab Insan Hun KHush-fahmiyon Ke Ghar Mein Rahta Hun comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Ajab Insan Hun KHush-fahmiyon Ke Ghar Mein Rahta Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عجب انسان ہوں خوش فہمیوں کے گھر میں رہتا ہوں

سلطان رشک

عجب انسان ہوں خوش فہمیوں کے گھر میں رہتا ہوں

میں جس منظر میں ہوں گم اس کے پس منظر میں رہتا ہوں

جو میں ظاہر میں ہوں یہ تو سراب ذات ہے یارو

میں اپنے ذہن کے بت خانۂ آذر میں رہتا ہوں

جو مجھ سے میری ہستی لے گیا تھا ایک ساعت میں

بڑی مدت سے میں اس شخص کے پیکر میں رہتا ہوں

کوئی مانوس چاپ آئے سراغ آگہی لے کر

میں اپنی خواہشوں کے خانۂ بے در میں رہتا ہوں

علامت فکر و دانش کی جہاں پتھر ہی پتھر ہوں

مری ہمت کہ اس عہد ستم پرور میں رہتا ہوں

میں کیا ہوں کون ہوں مقصد مری تخلیق کا کیا ہے

نہ جانے کتنی صدیوں سے اسی چکر میں رہتا ہوں

سلطان رشک

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ajab Insan Hun KHush-fahmiyon Ke Ghar Mein Rahta Hun

Sultan Rashk

ajab insan hun KHush-fahmiyon ke ghar mein rahta hun
main jis manzar mein hun gum us ke pas-manzar mein rahta hun

jo main zahir mein hun ye to sarab-e-zat hai yaro
main apne zehn ke but-KHana-e-azar mein rahta hun

jo mujh se meri hasti le gaya tha ek saat mein
baDi muddat se main us shaKHs ke paikar mein rahta hun

koi manus chap aae suragh-e-agahi le kar
main apni KHwahishon ke KHana-e-be-dar mein rahta hun

alamat fikr-o-danish ki jahan patthar hi patthar hon
meri himmat ki us ahd-e-sitam-parwar mein rahta hun

main kya hun kaun hun maqsad meri taKHliq ka kya hai
na jaane kitni sadiyon se isi chakkar mein rahta hun

(540) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ajab Insan Hun KHush-fahmiyon Ke Ghar Mein Rahta Hun written by Sultan Rashk at UrduPoint. Ajab Insan Hun KHush-fahmiyon Ke Ghar Mein Rahta Hun is one of the masterpieces written by Sultan Rashk. You can also find the complete poetry collection of Sultan Rashk by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sultan Rashk' above.

Ajab Insan Hun KHush-fahmiyon Ke Ghar Mein Rahta Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ajab Insan Hun KHush-fahmiyon Ke Ghar Mein Rahta Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.