Jo Nazar Aata Nahin Diwar Mein Dar Aur Hai, Urdu Ghazal By Sultan Rashk

Jo Nazar Aata Nahin Diwar Mein Dar Aur Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sultan Rashk. Jo Nazar Aata Nahin Diwar Mein Dar Aur Hai comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Jo Nazar Aata Nahin Diwar Mein Dar Aur Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو نظر آتا نہیں دیوار میں در اور ہے

سلطان رشک

جو نظر آتا نہیں دیوار میں در اور ہے

ان ستم گاروں کے پیچھے اک ستم گر اور ہے

جو نظر آتا نہیں رستے کا پتھر اور ہے

میں نہیں ہوں میرے اندر ایک خود سر اور ہے

ان فضاؤں میں مگر میرا گزر ممکن نہیں

میری منزل اور ہے میرا مقدر اور ہے

ہم ہیں طوفان حوادث میں ہمیں معلوم ہے

تم سمجھ سکتے نہیں ساحل کا منظر اور ہے

بوجھ تیری بے وفائی کا اٹھا لیتا مگر

اک تمنا تجھ سے بڑھ کر دل کے اندر اور ہے

کچھ تعلق ہی نہیں جس کا مرے حالات سے

میرے محسن تیرا اک احسان مجھ پر اور ہے

آپ سے مل کر مجھے محسوس یہ ہونے لگا

یہ مرا پیکر نہیں ہے میرا پیکر اور ہے

میری بربادی کا باعث صرف ناداری نہیں

ایک سامان اذیت اس سے بڑھ کر اور ہے

روشنی پہلے بھی ہوتی تھی مگر سلطان رشکؔ

آفتاب صبح آزادی کا منظر اور ہے

سلطان رشک

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Nazar Aata Nahin Diwar Mein Dar Aur Hai

Sultan Rashk

jo nazar aata nahin diwar mein dar aur hai
in sitam-garon ke pichhe ek sitamgar aur hai

jo nazar aata nahin raste ka patthar aur hai
main nahin hun mere andar ek KHud-sar aur hai

in fazaon mein magar mera guzar mumkin nahin
meri manzil aur hai mera muqaddar aur hai

hum hain tufan-e-hawadis mein hamein malum hai
tum samajh sakte nahin sahil ka manzar aur hai

bojh teri bewafai ka uTha leta magar
ek tamanna tujh se baDh kar dil ke andar aur hai

kuchh talluq hi nahin jis ka mere haalat se
mere mohsin tera ek ehsan mujh par aur hai

aap se mil kar mujhe mahsus ye hone laga
ye mera paikar nahin hai mera paikar aur hai

meri barbaadi ka bais sirf nadari nahin
ek saman-e-aziyyat is se baDh kar aur hai

raushni pahle bhi hoti thi magar 'sultan-rashk'
aaftab-e-subah-e-azadi ka manzar aur hai

(445) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jo Nazar Aata Nahin Diwar Mein Dar Aur Hai written by Sultan Rashk at UrduPoint. Jo Nazar Aata Nahin Diwar Mein Dar Aur Hai is one of the masterpieces written by Sultan Rashk. You can also find the complete poetry collection of Sultan Rashk by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sultan Rashk' above.

Jo Nazar Aata Nahin Diwar Mein Dar Aur Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Nazar Aata Nahin Diwar Mein Dar Aur Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.