Aangan Mein Aangan Hai Na Dalan Ye Ghar Kaisa Hai, Urdu Ghazal By Syed Ahmad Sahar

Aangan Mein Aangan Hai Na Dalan Ye Ghar Kaisa Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Ahmad Sahar. Aangan Mein Aangan Hai Na Dalan Ye Ghar Kaisa Hai comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Aangan Mein Aangan Hai Na Dalan Ye Ghar Kaisa Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آنگن میں آنگن ہے نہ دالان یہ گھر کیسا ہے

سید احمد سحر

آنگن میں آنگن ہے نہ دالان یہ گھر کیسا ہے

اس کے ہر کمرے میں شیطان یہ گھر کیسا ہے

پختہ اس کے در و دیوار دریچے روشن

اور مجرم ہیں نگہبان یہ گھر کیسا ہے

یاں مکینوں کے دلوں سے ہیں امنگیں غائب

اور دماغوں میں ہیں ہذیان یہ گھر کیسا ہے

کوئی رشتوں کا تقدس ہے نہ حرمت کا خیال

باہمی پیار کا فقدان یہ گھر کیسا ہے

جس سے ملیے نظر آتا ہے بظاہر خوش حال

اندر اندر سے پریشان یہ گھر کیسا ہے

کیا اسی گھر میں رہا کرتے تھے میرے اجداد

جس کے ہر گوشے میں طوفان یہ گھر کیسا ہے

در و دیوار سے اٹھنے لگی نفرت کی لپٹ

ہر طرف موت کا سامان یہ گھر کیسا ہے

نفسی نفسی کا سا عالم ہے یہاں چار طرف

کچھ بتاؤ تو مری جان یہ گھر کیسا ہے

خود تو کوشش نہیں کرتا ہے سمجھنے کی سحرؔ

پوچھتا پھرتا ہے نادان یہ گھر کیسا ہے

سید احمد سحر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aangan Mein Aangan Hai Na Dalan Ye Ghar Kaisa Hai

Syed Ahmad Sahar

aangan mein aangan hai na dalan ye ghar kaisa hai
us ke har kamre mein shaitan ye ghar kaisa hai

puKHta us ke dar-o-diwar dariche raushan
aur mujrim hain nigahban ye ghar kaisa hai

yan makinon ke dilon se hain umangen ghaeb
aur dimaghon mein hain hizyan ye ghar kaisa hai

koi rishton ka taqaddus hai na hurmat ka KHayal
bahami pyar ka fuqdan ye ghar kaisa hai

jis se miliye nazar aata hai ba-zahir KHush-haal
andar andar se pareshan ye ghar kaisa hai

kya isi ghar mein raha karte the mere ajdad
jis ke har goshe mein tufan ye ghar kaisa hai

dar-o-diwar se uThne lagi nafrat ki lapaT
har taraf maut ka saman ye ghar kaisa hai

nafsi-nafsi ka sa aalam hai yahan chaar taraf
kuchh batao to meri jaan ye ghar kaisa hai

KHud to koshish nahin karta hai samajhne ki 'sahar'
puchhta phirta hai nadan ye ghar kaisa hai

(275) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aangan Mein Aangan Hai Na Dalan Ye Ghar Kaisa Hai written by Syed Ahmad Sahar at UrduPoint. Aangan Mein Aangan Hai Na Dalan Ye Ghar Kaisa Hai is one of the masterpieces written by Syed Ahmad Sahar. You can also find the complete poetry collection of Syed Ahmad Sahar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Ahmad Sahar' above.

Aangan Mein Aangan Hai Na Dalan Ye Ghar Kaisa Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aangan Mein Aangan Hai Na Dalan Ye Ghar Kaisa Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.