Shikwa Gar Kije To Hota Hai Guman Taqsir Ka, Urdu Ghazal By Syed Hamid

Shikwa Gar Kije To Hota Hai Guman Taqsir Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Hamid. Shikwa Gar Kije To Hota Hai Guman Taqsir Ka comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shikwa Gar Kije To Hota Hai Guman Taqsir Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شکوہ گر کیجے تو ہوتا ہے گماں تقصیر کا

سید حامد

شکوہ گر کیجے تو ہوتا ہے گماں تقصیر کا

ہر جفا سے باب کھلتا ہے نیا تعزیر کا

اس سے پیہم گفتگو کیجے کبھی برہم نہ ہو

اصل پر بھاری ہے پہلو آپ کی تصویر کا

دل کے در پے ہیں یہ دونوں رشتۂ ہمسائیگی

گیسوئے شبگیر سے ہے فکر دامن گیر کا

جور سے گھبرانے والے ہم نہیں ہیں دیکھیے

حوصلہ کب تک جواں رہتا ہے چرخ پیر کا

کس لیے خواب زلیخا تشنۂ تعبیر ہے

مصر میں شہرہ بہت یوں تو ہوا تعبیر کا

گھولتے ہیں کس لیے وہ چشمۂ حیواں میں زہر

کام لیتے ہیں تبسم سے وہ کیوں تحقیر کا

کاش میری کہہ رہے ہیں سبزہ و دشت و دمن

لالہ و برگ و سمن عالم ہے یہ کشمیر کا

ناز سے دیکھا ہے خالق نے مٹاتے بارہا

ناخن تدبیر کو لکھا ہوا تقدیر کا

خاک سے کر خاکساری سے ریاضت سے عرق

آرزو کی آنچ دے نسخہ ہے یہ اکسیر کا

حسرتوں سے اس طرح رہ رہ کے ہوتی ہے خلش

ٹوٹ جائے لگ کے دل میں جیسے پیکاں تیر کا

شعر میں اقبالؔ کا شیدا ہے غالبؔ کا اسیر

حامدؔ بے بہرہ گو منکر نہیں ہے میر کا

سید حامد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shikwa Gar Kije To Hota Hai Guman Taqsir Ka

Syed Hamid

shikwa gar kije to hota hai guman taqsir ka
har jafa se bab khulta hai naya tazir ka

us se paiham guftugu kije kabhi barham na ho
asl par bhaari hai pahlu aap ki taswir ka

dil ke dar pe hain ye donon rishta-e-ham-saegi
gesu-e-shab-gir se hai fikr daman-gir ka

jaur se ghabrane wale hum nahin hain dekhiye
hausla kab tak jawan rahta hai charKH-e-pir ka

kis liye KHwab-e-zuleKHa tishna-e-tabir hai
misr mein shohra bahut yun to hua tabir ka

gholte hain kis liye wo chashma-e-haiwan mein zahr
kaam lete hain tabassum se wo kyun tahqir ka

kash meri kah rahe hain sabza-o-dasht-o-daman
lala-o-barg-o-saman aalam hai ye kashmir ka

naz se dekha hai KHaliq ne miTate barha
naKHun-e-tadbir ko likkha hua taqdir ka

KHak se kar KHaksari se riyazat se araq
aarzu ki aanch de nusKHa hai ye iksir ka

hasraton se is tarah rah rah ke hoti hai KHalish
TuT jae lag ke dil mein jaise paikan tir ka

sher mein 'iqbaal' ka shaida hai 'ghaalib' ka asir
'hamid'-e-be-bahra-go munkir nahin hai mir ka

(490) ووٹ وصول ہوئے

You can read Shikwa Gar Kije To Hota Hai Guman Taqsir Ka written by Syed Hamid at UrduPoint. Shikwa Gar Kije To Hota Hai Guman Taqsir Ka is one of the masterpieces written by Syed Hamid. You can also find the complete poetry collection of Syed Hamid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Hamid' above.

Shikwa Gar Kije To Hota Hai Guman Taqsir Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shikwa Gar Kije To Hota Hai Guman Taqsir Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.