Dil Ko Karun Nisar Ki Warun Jigar Ko Main, Urdu Ghazal By Syed Masood Hasan Masood

Dil Ko Karun Nisar Ki Warun Jigar Ko Main is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Masood Hasan Masood. Dil Ko Karun Nisar Ki Warun Jigar Ko Main comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Ko Karun Nisar Ki Warun Jigar Ko Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل کو کروں نثار کہ واروں جگر کو میں

سید مسعود حسن مسعود

دل کو کروں نثار کہ واروں جگر کو میں

آنکھوں میں دوں جگہ ترے تیر نظر کو میں

مایوس ہو کے بیٹھ رہوں عمر بھر کو میں

یوں طول دوں اب اپنے غم مختصر کو میں

اب کیا سناؤں قصۂ درد جگر کو میں

پہچانتا ہوں خوب کسی کی نظر کو میں

سینے دو شام ہجر گریبان آرزو

دامان صبر چاک کروں گا سحر کو میں

ہوں حسن جاں ستاں کے اشارے کا منتظر

تیار ہوں بہ شوق عدم کے سفر کو میں

آتا ہے یاد دور مئے و جام میکدہ

گردش میں دیکھتا ہوں جو شمس و قمر کو میں

اے جان زار صبر کی کوشش فضول ہے

سمجھا ہوا ہوں حکم قضا و قدر کو میں

تاثیر ہے زباں میں نہ دل میں خلوص ہے

پیدا کروں کہاں سے دعا میں اثر کو میں

سو بار ہو چکا ہے قیامت کا سامنا

پہچانتا ہوں خوب تری رہ گزر کو میں

ٹکڑے دل و جگر کے ہیں آئینۂ نگاہ

بھولا نہیں ہوں تیری خدنگ نظر کو میں

کوشش یہ ہے کہ جمع کروں اب حواس و ہوش

دعوت جو دے چکا ہوں کسی کی نظر کو میں

تا حشر دل کو دل سے نہ ملنے دیا کبھی

مسعودؔ کیا کہوں فلک فتنہ گر کو میں

سید مسعود حسن مسعود

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Ko Karun Nisar Ki Warun Jigar Ko Main

Syed Masood Hasan Masood

dil ko karun nisar ki warun jigar ko main
aankhon mein dun jagah tere tir-e-nazar ko main

mayus ho ke baiTh rahun umr bhar ko main
yun tul dun ab apne gham-e-muKHtasar ko main

ab kya sunaun qissa-e-dard-e-jigar ko main
pahchanta hun KHub kisi ki nazar ko main

sine do sham-e-hijr gareban-e-arzu
daman-e-sabr chaak karunga sahar ko main

hun husn-e-jaan-sitan ke ishaare ka muntazir
tayyar hun ba-shauq adam ke safar ko main

aata hai yaad daur-e-mai-o-jam-e-mai-kada
gardish mein dekhta hun jo shams-o-qamar ko main

ai jaan-e-zar sabr ki koshish fuzul hai
samjha hua hun hukm-e-qaza-o-qadar ko main

tasir hai zaban mein na dil mein KHulus hai
paida karun kahan se dua mein asar ko main

sau bar ho chuka hai qayamat ka samna
pahchanta hun KHub teri rahguzar ko main

TukDe dil-o-jigar ke hain aaina-e-nigah
bhula nahin hun teri KHadang-e-nazar ko main

koshish ye hai ki jama karun ab hawas-o-hosh
dawat jo de chuka hun kisi ki nazar ko main

ta-hashr dil ko dil se na milne diya kabhi
'masud' kya kahun falak-e-fitna-gar ko main

(463) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Ko Karun Nisar Ki Warun Jigar Ko Main written by Syed Masood Hasan Masood at UrduPoint. Dil Ko Karun Nisar Ki Warun Jigar Ko Main is one of the masterpieces written by Syed Masood Hasan Masood. You can also find the complete poetry collection of Syed Masood Hasan Masood by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Masood Hasan Masood' above.

Dil Ko Karun Nisar Ki Warun Jigar Ko Main is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Ko Karun Nisar Ki Warun Jigar Ko Main, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.