Main Kya Samjhun Tere Wade Se Kya Izhaar Hota Hai, Urdu Ghazal By Syed Masood Hasan Masood

Main Kya Samjhun Tere Wade Se Kya Izhaar Hota Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Masood Hasan Masood. Main Kya Samjhun Tere Wade Se Kya Izhaar Hota Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main Kya Samjhun Tere Wade Se Kya Izhaar Hota Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں کیا سمجھوں ترے وعدے سے کیا اظہار ہوتا ہے

سید مسعود حسن مسعود

میں کیا سمجھوں ترے وعدے سے کیا اظہار ہوتا ہے

کبھی اقرار ہوتا ہے کبھی انکار ہوتا ہے

کسی سے کب کسی کے درد کا اظہار ہوتا ہے

وہی کچھ خوب کہہ سکتا ہے جو بیمار ہوتا ہے

الٰہی خیر دوہری چوٹ ہے کس طرح اٹھے گی

دل مجروح میں پیوست پھر سوفار ہوتا ہے

برہمن جانتا ہے مجھ کو میں جیسا مسلماں ہوں

مری تسبیح میں بھی رشتۂ زنار ہوتا ہے

زلیخا کو ملے جذبات کے اظہار کا موقع

ابھی بازار الفت مصر کا بازار ہوتا ہے

بجز ذات خدا کس کا سہارا ہے زمانہ میں

مصیبت میں بھلا کوئی کسی کا یار ہوتا ہے

مزہ آئے گا راتوں کو ہمیں فریاد کرنے کا

ہمارا مستقل بستر پس دیوار ہوتا ہے

نگاہوں میں ہوا کرتا ہے بیعانہ محبت کا

یہ وہ سودا نہیں ہے جو سر بازار ہوتا ہے

نزاکت چار آنکھیں بزم میں کرنے نہیں دیتی

کسی کی خاطر نازک پہ یہ بھی بار ہوتا ہے

مسیحا بھی اتر آئیں تو کیا امید جینے کی

کہیں مسعودؔ اچھا عشق کا بیمار ہوتا ہے

سید مسعود حسن مسعود

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Kya Samjhun Tere Wade Se Kya Izhaar Hota Hai

Syed Masood Hasan Masood

main kya samjhun tere wade se kya izhaar hota hai
kabhi iqrar hota hai kabhi inkar hota hai

kisi se kab kisi ke dard ka izhaar hota hai
wahi kuchh KHub kah sakta hai jo bimar hota hai

ilahi KHair dohri choT hai kis tarah uTThegi
dil-e-majruh mein paiwast phir sufar hota hai

barahman jaanta hai mujh ko main jaisa musalman hun
meri tasbih mein bhi rishta-e-zunnar hota hai

zuleKHa ko mile jazbaat ke izhaar ka mauqa
abhi bazar-e-ulfat misr ka bazar hota hai

ba-juz zat-e-KHuda kis ka sahaara hai zamane mein
musibat mein bhala koi kisi ka yar hota hai

maza aaega raaton ko hamein fariyaad karne ka
hamara mustaqil bistar pas-e-diwar hota hai

nigahon mein hua karta hai baiana mohabbat ka
ye wo sauda nahin hai jo sar-e-bazar hota hai

nazakat chaar aankhen bazm mein karne nahin deti
kisi ki KHatir-e-nazuk pe ye bhi bar hota hai

masiha bhi utar aaen to kya ummid jine ki
kahin 'masud' achchha ishq ka bimar hota hai

(582) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Kya Samjhun Tere Wade Se Kya Izhaar Hota Hai written by Syed Masood Hasan Masood at UrduPoint. Main Kya Samjhun Tere Wade Se Kya Izhaar Hota Hai is one of the masterpieces written by Syed Masood Hasan Masood. You can also find the complete poetry collection of Syed Masood Hasan Masood by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Masood Hasan Masood' above.

Main Kya Samjhun Tere Wade Se Kya Izhaar Hota Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Kya Samjhun Tere Wade Se Kya Izhaar Hota Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.