Gham-e-ulfat Hai Sabab KHalq Mein Ruswai Ka, Urdu Ghazal By Syed Masood Hasan Masood

Gham-e-ulfat Hai Sabab KHalq Mein Ruswai Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Masood Hasan Masood. Gham-e-ulfat Hai Sabab KHalq Mein Ruswai Ka comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Gham-e-ulfat Hai Sabab KHalq Mein Ruswai Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

غم الفت ہے سبب خلق میں رسوائی کا

سید مسعود حسن مسعود

غم الفت ہے سبب خلق میں رسوائی کا

نام بدنام ہوا کیوں شب تنہائی کا

ٹکڑے ٹکڑے ہے جگر آپ کے سودائی کا

سامنا آج بھی ہے حشر میں رسوائی کا

موت آتی ہے نہ امکاں ہے شکیبائی کا

آگ لگ جائے برا ہو شب تنہائی کا

دل کے ٹکڑے نہ کرو حسن کی زینت ہے یہی

آئنہ ٹوٹا تو کیا لطف خود آرائی کا

پڑ گئی اہل قیامت کی گریباں پہ نظر

چھڑ گیا حشر میں قصہ مری رسوائی کا

پھر کشش نے در محبوب کی کھینچا دل کو

پھر ہوا ذوق ہمیں ناصیہ فرسائی کا

گھٹتی جاتی ہے چراغ دل سوزاں کی ضیا

بڑھتا جاتا ہے اندھیرا شب تنہائی کا

کیوں نہ انسان ہو مشتاق طلسم دنیا

دل بہلتا ہے تماشے سے تماشائی کا

چھا گئی ظلمت غم دل پہ خدا خیر کرے

آ گیا چاند گہن میں شب تنہائی کا

حالت نزع ہے دم توڑ رہا ہے بیمار

ناتوانی میں یہ عالم ہے توانائی کا

کر چکے آپ ہمارا دل مردہ زندہ

ساتھ عیسیٰ کے گیا دور مسیحائی کا

آنکھ میں موت کی پھر جاتی ہے صورت اب تک

بخدا نام برا ہے شب تنہائی کا

خیر اتنا تو ہوا مشق جفا سے حاصل

آ گیا تم کو سلیقہ ستم آرائی کا

آج ہے کل سے غنیمت یہ سنا جاتا ہے

دور از حال مزاج آپ کے سودائی کا

لے گیا حسن خداداد بتوں کا مسعودؔ

مقدرت صبر کی امکان شکیبائی کا

سید مسعود حسن مسعود

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gham-e-ulfat Hai Sabab KHalq Mein Ruswai Ka

Syed Masood Hasan Masood

gham-e-ulfat hai sabab KHalq mein ruswai ka
nam badnam hua kyon shab-e-tanhai ka

TukDe TukDe hai jigar aap ke saudai ka
samna aaj bhi hai hashr mein ruswai ka

maut aati hai na imkan hai shakebai ka
aag lag jae bura ho shab-e-tanhai ka

dil ke TukDe na karo husn ki zinat hai yahi
aaina TuTa to kya lutf KHud-arai ka

paD gai ahal-e-qayamat ki gareban pe nazar
chhiD gaya hashr mein qissa meri ruswai ka

phir kashish ne dar-e-mahbub ki khincha dil ko
phir hua zauq hamein nasiya-farsai ka

ghaTti jati hai charagh-e-dil-e-sozan ki ziya
baDhta jata hai andhera shab-e-tanhai ka

kyon na insan ho mushtaq-e-tilism-e-duniya
dil bahalta hai tamashe se tamashai ka

chha gai zulmat-e-gham dil pe KHuda KHair kare
aa gaya chand gahan mein shab-e-tanhai ka

haalat-e-naza hai dam toD raha hai bimar
na-tawani mein ye aalam hai tawanai ka

kar chuke aap hamara dil-e-murda zinda
sath isa ke gaya daur masihai ka

aankh mein maut ki phir jati hai surat ab tak
ba-KHuda nam bura hai shab-e-tanhai ka

KHair itna to hua mashq-e-jafa se hasil
aa gaya tum ko saliqa sitam-arai ka

aaj hai kal se ghanimat ye suna jata hai
dur-az-haal mizaj aap ke saudai ka

le gaya husn-e-KHuda-dad buton ka 'masud'
maqdarat sabr ki imkan shakebai ka

(561) ووٹ وصول ہوئے

You can read Gham-e-ulfat Hai Sabab KHalq Mein Ruswai Ka written by Syed Masood Hasan Masood at UrduPoint. Gham-e-ulfat Hai Sabab KHalq Mein Ruswai Ka is one of the masterpieces written by Syed Masood Hasan Masood. You can also find the complete poetry collection of Syed Masood Hasan Masood by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Masood Hasan Masood' above.

Gham-e-ulfat Hai Sabab KHalq Mein Ruswai Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gham-e-ulfat Hai Sabab KHalq Mein Ruswai Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.