Hamein Nabud Mat Karna, Urdu Nazam By Syed Mubarak Shah

Hamein Nabud Mat Karna is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Syed Mubarak Shah. Hamein Nabud Mat Karna comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Hamein Nabud Mat Karna on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہمیں نابود مت کرنا

سید مبارک شاہ

اگرچہ سوت سے تکلے نے دھاگے کو نہ کھینچا تھا

مرے ریشے بنت کے مرحلے میں تھے

رگیں ماں کی دریدوں سے نہ بچھڑی تھیں

میں اپنے جسم سے کچھ فاصلے پر تھا

مگر میرے عقیدے کا تعین کرنے والوں نے

مرے مسلک کے بارے میں

جو سوچا تھا اسے تجسیم کر ڈالا

میں جس دم اپنے ہونے پر اتر آیا

مجھے تقسیم کر ڈالا

کسی نے میرے ماتھے پر تلک داغا

صلیبوں کو مری چھاتی پہ کھینچا

اور کانوں میں اذاں بھر دی

پھر اس کے بعد

پیشانی پہ انگارے

صلیبیں اپنے سینے پر

سماعت پر نمیدہ زنگ کے تالے سنبھالے

میں نے ساری عمر

دنیا کے تصرف میں گزاری ہے

مری فطرت سمٹنا اور

قسمت ٹوٹ جانا ہے

میں پارہ ہوں

مجھے دنیا مسلتی ہے

نفی اثبات کی ضربیں

مجھے تقسیم کرتی ہیں

بکھرتا ہوں

مرے ذرے تھرکتے ہیں

تو کہتے ہیں

ہمیں نابود مت کرنا

کہ جب تقسیم ہونے کا عمل ممکن نہیں رہتا

تو پھر ذرہ

ذرا بھر چوٹ کھانے پر

دھماکے کو اگلتا ہے

دھماکے کو سمجھتے ہو

دھماکہ جس سے حرف کن ٹپکتا ہے

ہمیں نابود مت کرنا

سید مبارک شاہ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hamein Nabud Mat Karna

Syed Mubarak Shah

agarche sut se takle ne dhage ko na khincha tha
mere reshe bunat ke marhale mein the
ragen man ki duridon se na bichhDi thin
main apne jism se kuchh fasle par tha
magar mere aqide ka tayyun karne walon ne
mere maslak ke bare mein
jo socha tha use tajsim kar Dala
main jis dam apne hone par utar aaya
mujhe taqsim kar Dala
kisi ne mere mathe par tilak dagha
salibon ko meri chhati pe khincha
aur kanon mein azan bhar di
phir is ke baad
peshani pe angare
saliben apne sine par
samaat par namida zang ke tale sambhaale
main ne sari umr
duniya ke tasarruf mein guzari hai
meri fitrat simaTna aur
qismat TuT jaana hai
main para hun
mujhe duniya masalti hai
nafi isbaat ki zarben
mujhe taqsim karti hain
bikharta hun
mere zarre thirakte hain
to kahte hain
hamein nabud mat karna
ki jab taqsim hone ka amal mumkin nahin rahta
to phir zarra
zara bhar choT khane par
dhamake ko ugalta hai
dhamake ko samajhte ho
dhamaka jis se harf-e-kun Tapakta hai
hamein nabud mat karna

(239) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hamein Nabud Mat Karna written by Syed Mubarak Shah at UrduPoint. Hamein Nabud Mat Karna is one of the masterpieces written by Syed Mubarak Shah. You can also find the complete poetry collection of Syed Mubarak Shah by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Mubarak Shah' above.

Hamein Nabud Mat Karna is a widely read Urdu Nazam. If you like Hamein Nabud Mat Karna, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.