Raat Gae Zindan Mein Jaane Kis Qaidi Ka Matam Tha, Urdu Ghazal By Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

Raat Gae Zindan Mein Jaane Kis Qaidi Ka Matam Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Nawab Haider Naqvi Rahi. Raat Gae Zindan Mein Jaane Kis Qaidi Ka Matam Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Raat Gae Zindan Mein Jaane Kis Qaidi Ka Matam Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رات گئے زنداں میں جانے کس قیدی کا ماتم تھا

سید نواب حیدر نقوی راہی

رات گئے زنداں میں جانے کس قیدی کا ماتم تھا

اس کی بیڑیاں چپ چپ سی تھیں اور اجالا کم کم تھا

جانے کیوں گفتار پہ اس کی وہم و گماں کے سائے تھے

بات تو اس کی سیدھی سی تھی لہجہ کچھ کچھ مبہم تھا

فصل بہاراں آئی بھی لیکن چاک گریباں ہو نہ سکے

جانے دلوں پر کیا گزری تھی کون سا اس کا موسم تھا

دشت جنوں میں دھوپ کڑی تھی نوحہ کناں تھے سناٹے

جانے تیری یاد کا بادل سایہ فگن کیوں پیہم تھا

سوختہ ساماں دشت طلب سے لوٹ کے آئے تو دیکھا

سارے گھروں میں ان کا گھر ہی اتنا درہم برہم تھا

خوف و رجا کا صحن‌ چمن میں ایک ہی جیسا حال ہوا

ذکر شعلہ و شبنم بھی تھا برق فنا کا ماتم تھا

راہ وفا میں حرص و ہوا کے اتنے دل کش منظر تھے

اس میں راہیؔ بھٹک گیا وہ آخر ابن آدم تھا

سید نواب حیدر نقوی راہی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Raat Gae Zindan Mein Jaane Kis Qaidi Ka Matam Tha

Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

raat gae zindan mein jaane kis qaidi ka matam tha
us ki beDiyan chup chup si thin aur ujala kam kam tha

jaane kyun guftar pe us ki wahm-o-guman ke sae the
baat to us ki sidhi si thi lahja kuchh kuchh mubham tha

fasl-e-bahaaran aai bhi lekin chaak gareban ho na sake
jaane dilon par kya guzri thi kaun sa us ka mausam tha

dasht-e-junun mein dhup kaDi thi nauha-kunan the sannaTe
jaane teri yaad ka baadal saya fagan kyun paiham tha

soKHta-saman dasht-e-talab se lauT ke aae to dekha
sare gharon mein un ka ghar hi itna darham-barham tha

KHauf-o-raja ka sahn-e-chaman mein ek hi jaisa haal hua
zikr-e-shoala-o-shabnam bhi tha barq-e-fana ka matam tha

rah-e-wafa mein hirs-o-hawa ke itne dilkash manzar the
us mein 'rahi' bhaTak gaya wo aaKHir ibn-e-adam tha

(443) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Syed Nawab Haider Naqvi Rahi Poetry

You can read Raat Gae Zindan Mein Jaane Kis Qaidi Ka Matam Tha written by Syed Nawab Haider Naqvi Rahi at UrduPoint. Raat Gae Zindan Mein Jaane Kis Qaidi Ka Matam Tha is one of the masterpieces written by Syed Nawab Haider Naqvi Rahi. You can also find the complete poetry collection of Syed Nawab Haider Naqvi Rahi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Nawab Haider Naqvi Rahi' above.

Raat Gae Zindan Mein Jaane Kis Qaidi Ka Matam Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Raat Gae Zindan Mein Jaane Kis Qaidi Ka Matam Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.