Zulf Se Nisbat-e-nakaam Liye Phirte Hain, Urdu Ghazal By Syed Raza

Zulf Se Nisbat-e-nakaam Liye Phirte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Raza. Zulf Se Nisbat-e-nakaam Liye Phirte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zulf Se Nisbat-e-nakaam Liye Phirte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زلف سے نسبت ناکام لیے پھرتے ہیں

سید رضا

زلف سے نسبت ناکام لیے پھرتے ہیں

دھوپ میں شائبۂ شام لیے پھرتے ہیں

مردہ بستی ہے خبر کون کسی کی لے گا

ساتھ میں دشمن و دشنام لیے پھرتے ہیں

اب جنوں میں بھی تو بے ہوش نہیں دیوانے

رو بہ صحرا ہیں در و بام لیے پھرتے ہیں

سرد چپ چاپ زمینوں کی طرح ہی ہم لوگ

اپنے اندر کوئی کہرام لیے پھرتے ہیں

ہر قدم کھلتا ہے اک بند گلی کی جانب

ہر نفس خدشۂ انجام لیے پھرتے ہیں

منفرد اپنے خد و خال نہ خاکہ اپنا

وہ جو اگلوں نے رکھا نام لیے پھرتے ہیں

سید رضا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zulf Se Nisbat-e-nakaam Liye Phirte Hain

Syed Raza

zulf se nisbat-e-nakaam liye phirte hain
dhup mein shaiba-e-sham liye phirte hain

murda basti hai KHabar kaun kisi ki lega
sath mein dushman-o-dushnam liye phirte hain

ab junun mein bhi to behosh nahin diwane
ru-ba-sahra hain dar-o-baam liye phirte hain

sard chup-chap zaminon ki tarah hi hum log
apne andar koi kohram liye phirte hain

har-qadam khulta hai ek band gali ki jaanib
har-nafas KHadsha-e-anjam liye phirte hain

munfarid apne KHad-o-KHal na KHaka apna
wo jo aglon ne rakha nam liye phirte hain

(376) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zulf Se Nisbat-e-nakaam Liye Phirte Hain written by Syed Raza at UrduPoint. Zulf Se Nisbat-e-nakaam Liye Phirte Hain is one of the masterpieces written by Syed Raza. You can also find the complete poetry collection of Syed Raza by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Raza' above.

Zulf Se Nisbat-e-nakaam Liye Phirte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zulf Se Nisbat-e-nakaam Liye Phirte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.