Raaz-o-niyaz-e-ishq Ke Qabil Bana Diya, Urdu Ghazal By Syed Safdar Hussain

Raaz-o-niyaz-e-ishq Ke Qabil Bana Diya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Safdar Hussain. Raaz-o-niyaz-e-ishq Ke Qabil Bana Diya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Raaz-o-niyaz-e-ishq Ke Qabil Bana Diya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

راز و نیاز عشق کے قابل بنا دیا

سید صفدر حسین

راز و نیاز عشق کے قابل بنا دیا

ان کی نظر نے دل کو مرے دل بنا دیا

اس ملگجے لباس پہ آرائشیں نثار

تم نے تو سادگی کو بھی قاتل بنا دیا

برق و شرر کو دے کے تپش اور اضطراب

جو بچ رہا اسی کو مرا دل بنا دیا

چارہ گری نے آپ کی چھو کر نگاہ سے

ہر آبلے کو درد بھرا دل بنا دیا

اب ان تجلیوں کا ہو کس طور سے نفوذ

جن کو حیا نے پردۂ حائل بنا دیا

دل ایک مشت خاک تھا تیری نگاہ نے

مٹی کو سوز عشق کے قابل بنا دیا

تیرے ظہور حسن نے تحلیل نور کی

اجزائے منتشر کو مرا دل بنا دیا

آغاز ربط میں نگہ جاں نواز نے

دل کو تری امید کے قابل بنا دیا

آنکھوں کو انتظار کی بیداریاں ملیں

سوز نفس کو گرمئ محفل بنا دیا

فطرت کو ہے گلہ کہ مرے اضطراب نے

حاصل کو برق برق کو حاصل بنا دیا

جب شوق تازہ دم تھا تو منزل بھی راہ تھی

جب تھک گئے تو راہ کو منزل بنا دیا

صفدرؔ یہ ان کی فتنہ خرامی کو دیکھیے

پھولوں پہ پاؤں رکھ کے انہیں دل بنا دیا

سید صفدر حسین

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Raaz-o-niyaz-e-ishq Ke Qabil Bana Diya

Syed Safdar Hussain

raaz-o-niyaz-e-ishq ke qabil bana diya
un ki nazar ne dil ko mere dil bana diya

is malgaje libas pe aaraishen nisar
tum ne to sadgi ko bhi qatil bana diya

barq-o-sharar ko de ke tapish aur iztirab
jo bach raha usi ko mera dil bana diya

chaaragari ne aap ki chhu kar nigah se
har aable ko dard bhara dil bana diya

ab in tajalliyon ka ho kis taur se nufuz
jin ko haya ne parda-e-hail bana diya

dil ek musht-e-KHak tha teri nigah ne
miTTi ko soz-e-ishq ke qabil bana diya

tere zuhur-e-husn ne tahlil-e-nur ki
ajza-e-muntashir ko mera dil bana diya

aaghaz-e-rabt mein nigah-e-jaan-nawaz ne
dil ko teri umid ke qabil bana diya

aankhon ko intizar ki bedariyan milin
soz-e-nafas ko garmi-e-mahfil bana diya

fitrat ko hai gila ki mere iztirab ne
hasil ko barq barq ko hasil bana diya

jab shauq taza-dam tha to manzil bhi rah thi
jab thak gae to rah ko manzil bana diya

'safdar' ye un ki fitna-KHirami ko dekhiye
phulon pe panw rakh ke unhen dil bana diya

(564) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Raaz-o-niyaz-e-ishq Ke Qabil Bana Diya written by Syed Safdar Hussain at UrduPoint. Raaz-o-niyaz-e-ishq Ke Qabil Bana Diya is one of the masterpieces written by Syed Safdar Hussain. You can also find the complete poetry collection of Syed Safdar Hussain by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Safdar Hussain' above.

Raaz-o-niyaz-e-ishq Ke Qabil Bana Diya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Raaz-o-niyaz-e-ishq Ke Qabil Bana Diya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.