Aashiq-e-haq Hain Hamin Shikwa-e-taqdir Nahin, Urdu Ghazal By Syed Yusuf Ali Khan Nazim

Aashiq-e-haq Hain Hamin Shikwa-e-taqdir Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Yusuf Ali Khan Nazim. Aashiq-e-haq Hain Hamin Shikwa-e-taqdir Nahin comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Aashiq-e-haq Hain Hamin Shikwa-e-taqdir Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عاشق‌ حق ہیں ہمیں شکوۂ تقدیر نہیں

سید یوسف علی خاں ناظم

عاشق‌ حق ہیں ہمیں شکوۂ تقدیر نہیں

پیچ‌ قسمت کا کم از زلف گرہ گیر نہیں

بس کہ آہوں سے اسیروں کے بہے لخت جگر

بے نگیں آج کوئی خانۂ زنجیر نہیں

کشتنی پاس تو آ جائے مگر تیرے پاس

نیزہ و تیر ہی ہے دشنہ و شمشیر نہیں

سب کے اس عمر میں ہو جاتے ہیں ایسے ہی حواس

تجھ سے کچھ شکوہ ہمیں اے فلک پیر نہیں

گھر کی ویرانی کو کیا روؤں کہ یہ پہلے سے

تنگ اتنا ہے کہ گنجائش تعمیر نہیں

آدمیت نہیں تجھ میں یہ عدو کی ہے غرض

یوں پری کہنے میں مانا تری تحقیر نہیں

جنبش ابرو کو ہے لیکن نہیں عاشق پہ نگاہ

تم کماں کیوں لئے پھرتے ہو اگر تیر نہیں

ہمت مرغ سحر خوان کا ہوں قائل کہ اسے

نالے سے زمزمہ مقصود ہے تاثیر نہیں

اپنے استاد کے انداز پہ میرا ہے کلام

مجھ کو ناظمؔ ہوس پیروئی میرؔ نہیں

سید یوسف علی خاں ناظم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aashiq-e-haq Hain Hamin Shikwa-e-taqdir Nahin

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

aashiq-e-haq hain hamin shikwa-e-taqdir nahin
pech-e-qismat ka kam-az-zulf-e-girah-gir nahin

bas ki aahon se asiron ke bahe laKHt-e-jigar
be-nagin aaj koi KHana-e-zanjir nahin

kushtani pas to aa jae magar tere pas
neza-o-tir hi hai dashna-o-shamshir nahin

sab ke is umr mein ho jate hain aise hi hawas
tujh se kuchh shikwa hamein ai falak-e-pir nahin

ghar ki virani ko kya roun ki ye pahle se
tang itna hai ki gunjaish-e-tamir nahin

aadamiyat nahin tujh mein ye adu ki hai gharaz
yun pari kahne mein mana teri tahqir nahin

jumbish abru ko hai lekin nahin aashiq pe nigah
tum kaman kyun liye phirte ho agar tir nahin

himmat-e-murgh-e-sahar-KHwan ka hun qail ki use
nale se zamzama maqsud hai tasir nahin

apne ustad ke andaz pe mera hai kalam
mujh ko 'nazim' hawas-e-pairwi-e-'mir' nahin

(404) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Syed Yusuf Ali Khan Nazim Poetry

You can read Aashiq-e-haq Hain Hamin Shikwa-e-taqdir Nahin written by Syed Yusuf Ali Khan Nazim at UrduPoint. Aashiq-e-haq Hain Hamin Shikwa-e-taqdir Nahin is one of the masterpieces written by Syed Yusuf Ali Khan Nazim. You can also find the complete poetry collection of Syed Yusuf Ali Khan Nazim by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Yusuf Ali Khan Nazim' above.

Aashiq-e-haq Hain Hamin Shikwa-e-taqdir Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aashiq-e-haq Hain Hamin Shikwa-e-taqdir Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.