Wahi Gul Hai Gulistan Mein Wahi Hai Shama Mahfil Mein, Urdu Ghazal By Syed Yusuf Ali Khan Nazim

Wahi Gul Hai Gulistan Mein Wahi Hai Shama Mahfil Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Yusuf Ali Khan Nazim. Wahi Gul Hai Gulistan Mein Wahi Hai Shama Mahfil Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wahi Gul Hai Gulistan Mein Wahi Hai Shama Mahfil Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہی گل ہے گلستاں میں وہی ہے شمع محفل میں

سید یوسف علی خاں ناظم

وہی گل ہے گلستاں میں وہی ہے شمع محفل میں

وہی یوسف ہے زنداں میں وہی لیلیٰ ہے محمل میں

ہزاروں بن گئی ہیں کشتگان خال کی قبریں

جگہ تل بھر نہیں باقی زمین کوئے قاتل میں

نہیں روشن دلوں کی قدر کچھ ارباب ظاہر کو

اجازت بیٹھنے کی شمع کو دی کس نے محفل میں

یہ عالم نور کا ہے جلوۂ داغ محبت سے

نہیں کچھ فرق میرے دل میں اور خورشید منزل میں

سیاہی خون سودا کی یہ وقت قتل کام آئی

لگایا سرمہ چشم جوہر شمشیر قاتل میں

یہ کس زہرہ جبیں کی انجمن میں آمد آمد ہے

بچھایا ہے قمر نے چاندنی کا فرش محفل میں

نظر آتا نہیں مانند ابرو ایک ماہ نو

مہینوں رہتی ہیں وہ حسرتیں مد مقابل میں

نہ ہو منکر نہ ہو منکر خدا وہ ہے خدا وہ ہے

رجوع قلب ہو جاتے ہے جس کی سمت مشکل میں

نہیں جوہر لیے ہیں بسکہ شوق قتل میں بوسے

ہمارے نقش دنداں ہیں لب شمشیر قاتل میں

وہ آوارہ ہوں میں ہے ختم مجھ پر تیز رفتاری

کہ ہیں مقراض دونوں پاؤں میرے قطع‌‌ منزل میں

تمہارے گیسوئے پیچاں کی جب تعریف لکھتا ہوں

قلم پابند ہو جاتا ہے مصرعوں کی سلاسل میں

فلک پر جائے عیسیٰ ہے گیا زیر زمیں قاروں

زمین و آسماں کا فرق پایا حق و باطل میں

بشر تنہا نہیں دیوانے اس شمشاد‌ قامت کے

شجر جکڑے ہوئے ہیں عشق پیچی کی سلاسل میں

مٹا حرف محبت آپ کے عارض پہ خط نکلا

ہمارا نام اب لکھیے تو لکھیے فرد باطل میں

امید‌ معدلت اس شاہ سے ہے مجھ کو اے ناظمؔ

ہوئی جس کی ولادت بھی زمان شاہ عادل میں

سید یوسف علی خاں ناظم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wahi Gul Hai Gulistan Mein Wahi Hai Shama Mahfil Mein

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

wahi gul hai gulistan mein wahi hai shama mahfil mein
wahi yusuf hai zindan mein wahi laila hai mahmil mein

hazaron ban gai hain kushtagan-e-KHal ki qabren
jagah til bhar nahin baqi zamin-e-ku-e-qatil mein

nahin raushan dilon ki qadr kuchh arbab-e-zahir ko
ijazat baiThne ki shama ko di kis ne mahfil mein

ye aalam nur ka hai jalwa-e-dagh-e-mohabbat se
nahin kuchh farq mere dil mein aur KHurshid-e-manzil mein

syahi-e-KHun-e-sauda ki ye waqt-e-qatl kaam aai
lagaya surma chashm-e-jauhar-e-shamshir-e-qatil mein

ye kis zohra-jabin ki anjuman mein aamad aamad hai
bichhaya hai qamar ne chandni ka farsh mahfil mein

nazar aata nahin manind-e-abru ek mah-e-nau
mahinon rahti hain wo hasraten madd-e-muqabil mein

na ho munkir na ho munkir KHuda wo hai KHuda wo hai
rujua qalb ho jate hai jis ki samt mushkil mein

nahin jauhar liye hain bas-ki shauq-e-qatl mein bose
hamare naqsh-e-dandan hain lab-e-shamshir-e-qatil mein

wo aawara hun main hai KHatm mujh par tez-raftari
ki hain miqraaz donon panw mere qat-e-manzil mein

tumhaare gesu-e-pechan ki jab tarif likhta hun
qalam paband ho jata hai misron ki salasil mein

falak par jae isa hai gaya zer-e-zamin qarun
zamin-o-asman ka farq paya haqq-o-baatil mein

bashar tanha nahin diwane us shamshad-qamat ke
shajar jakDe hue hain ishq-e-pechi ki salasil mein

miTa harf-e-mohabbat aap ke aariz pe KHat nikla
hamara nam ab likhiye to likhiye fard-e-baatil mein

umid-e-madilat us shah se hai mujh ko ai 'nazim'
hui jis ki wiladat bhi zaman-e-shah-e-adil mein

(767) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wahi Gul Hai Gulistan Mein Wahi Hai Shama Mahfil Mein written by Syed Yusuf Ali Khan Nazim at UrduPoint. Wahi Gul Hai Gulistan Mein Wahi Hai Shama Mahfil Mein is one of the masterpieces written by Syed Yusuf Ali Khan Nazim. You can also find the complete poetry collection of Syed Yusuf Ali Khan Nazim by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Yusuf Ali Khan Nazim' above.

Wahi Gul Hai Gulistan Mein Wahi Hai Shama Mahfil Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wahi Gul Hai Gulistan Mein Wahi Hai Shama Mahfil Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.