Do Damon Se Hai Faqat Gor-e-ghariban Aabaad, Urdu Ghazal By Taashshuq Lakhnavi

Do Damon Se Hai Faqat Gor-e-ghariban Aabaad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Taashshuq Lakhnavi. Do Damon Se Hai Faqat Gor-e-ghariban Aabaad comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Do Damon Se Hai Faqat Gor-e-ghariban Aabaad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دو دموں سے ہے فقط گور غریباں آباد

تعشق لکھنوی

دو دموں سے ہے فقط گور غریباں آباد

تم ہمیشہ رہو اے حسرت و ارماں آباد

تجھ سے اے درد ہے قصر دل ویراں آباد

کیا سرافراز کیا خانہ ویراں آباد

جس جگہ بیٹھ کے روئے وہ مکاں ڈوب گئے

شہر ہونے نہیں دیتے ترے گریاں آباد

قیس و فرہاد کے دم سے بھی عجب رونق تھی

کچھ دنوں خوب رہے کوہ و بیاباں آباد

وحشت دل یہ بڑھی چھوڑ دیئے گھر سب نے

تم ہوے خانہ نشیں ہو گئیں گلیاں آباد

آمد قافلۂ درد و الم ہے صد شکر

آج ہوتی ہے سرائے دل ویراں آباد

مٹ گئے داغ جگر حسن رخ یار گیا

کل کی ہے بات کہ تھا کیا یہ گلستاں آباد

تیرے دیوانوں کے جس دشت سے اٹھے بستر

وحشیوں سے نہ ہوا پھر وہ بیاباں آباد

صورت شمع ہوا خاک بدن جل جل کر

ہم نے تربت بھی نہ کی اے شب ہجراں آباد

صحبتیں ہو گئیں برباد گل انداموں کی

خاک اڑتی ہے وہاں تھے جو گلستاں آباد

سینہ و دل میں خوشی سے نہ جگہ تھی غم کی

اے تعشقؔ یہ مکاں بھی تھے کبھی ہاں آباد

تعشق لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Do Damon Se Hai Faqat Gor-e-ghariban Aabaad

Taashshuq Lakhnavi

do damon se hai faqat gor-e-ghariban aabaad
tum hamesha raho ai hasrat-o-arman aabaad

tujh se ai dard hai qasr-e-dil-e-viran aabaad
kiya sar-afraaz kiya KHana-viran aabaad

jis jagah baiTh ke roe wo makan Dub gae
shahar hone nahin dete tere giryan aabaad

qais-o-farhad ke dam se bhi ajab raunaq thi
kuchh dinon KHub rahe koh-o-bayaban aabaad

wahshat-e-dil ye baDhi chhoD diye ghar sab ne
tum hue KHana-nashin ho gain galiyan aabaad

aamad-e-qafila-e-dard-o-alam hai sad-shukr
aaj hoti hai sara-e-dil-e-viran aabaad

miT gae dagh-e-jigar husn-e-ruKH-e-yar gaya
kal ki hai baat ki tha kya ye gulistan aabaad

tere diwanon ke jis dasht se uTThe bistar
wahshiyon se na hua phir wo bayaban aabaad

surat-e-shama hua KHak-e-badan jal jal kar
hum ne turbat bhi na ki ai shab-e-hijran aabaad

sohbaten ho gain barbaad gul-andamon ki
KHak uDti hai wahan the jo gulistan aabaad

sina o dil mein KHushi se na jagah thi gham ki
ai 'tashshuq' ye makan bhi the kabhi han aabaad

(461) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Do Damon Se Hai Faqat Gor-e-ghariban Aabaad written by Taashshuq Lakhnavi at UrduPoint. Do Damon Se Hai Faqat Gor-e-ghariban Aabaad is one of the masterpieces written by Taashshuq Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Taashshuq Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Taashshuq Lakhnavi' above.

Do Damon Se Hai Faqat Gor-e-ghariban Aabaad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Do Damon Se Hai Faqat Gor-e-ghariban Aabaad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.