Josh Par Thin Sifat-e-abr-e-bahaari Aankhen, Urdu Ghazal By Taashshuq Lakhnavi

Josh Par Thin Sifat-e-abr-e-bahaari Aankhen is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Taashshuq Lakhnavi. Josh Par Thin Sifat-e-abr-e-bahaari Aankhen comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Josh Par Thin Sifat-e-abr-e-bahaari Aankhen on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جوش پر تھیں صفت ابر بہاری آنکھیں

تعشق لکھنوی

جوش پر تھیں صفت ابر بہاری آنکھیں

بہ گئیں آنسوؤں کے ساتھ ہماری آنکھیں

ہیں جلو میں صفت ابر بہاری آنکھیں

اٹھنے دیتی ہیں کہاں گرد سواری آنکھیں

کیوں اسیران قفس کی طرف آنا چھوڑا

پھیر لیں تو نے بھی اے باد بہاری آنکھیں

سامنے آ گئی گلگشت میں نرگس شاید

پلکوں سے چیں بہ جبیں ہیں جو تمہاری آنکھیں

کیا در اشک سے ہیں دامن مژگاں مملو

کب زباں ہے کہ کریں شکر گزاری آنکھیں

دیکھتے ہیں طرف چاہ ذقن الفت سے

مفت میں ہم کو ڈبوتی ہیں ہماری آنکھیں

شوخیاں آہوؤں کی ذہن میں کب آتی ہیں

کچھ دنوں ہم نے بھی دیکھی تھیں تمہاری آنکھیں

قطرۂ آب کو محتاج کیا گردوں نے

یاد ایام کہ تھیں چشمہ جاری آنکھیں

دور سے دیکھ کے تم کو کوئی جی بھرتا ہے

کر رہی ہیں فقط ایام گزاری آنکھیں

ابر کو دیکھ کے ہر مرتبہ جوش آتا ہے

اب تو آئیں ہیں مرے ضبط سے عاری آنکھیں

جب ہٹا آئنہ آگے سے ہوئیں کیا بے چین

اپنے پر آپ ہی عاشق ہیں تمہاری آنکھیں

لطف دیکھا نہ کسی چیز کا اشکوں کے سوا

آئیں تھیں رونے کو دنیا میں ہماری آنکھیں

کہتی ہے بھر کے دم سرد خزاں میں بلبل

ڈھونڈھتی ہیں تجھے اے فصل بہاری آنکھیں

تم کو شرم آتی ہے ہم قابل نظارہ نہیں

نہ رہا حسن تمہارا نہ ہماری آنکھیں

کیوں چراگاہ غزالاں نہ کہوں پلکوں کو

پھر رہی ہیں میری نظروں میں تمہاری آنکھیں

روؤں کس واسطے گر سامنے آنا چھوڑا

آپ کو حسن ہے پیارا مجھے پیاری آنکھیں

کور ہو جاؤں مگر عشق میں رونے کو نہ روک

ناصحا دل سے زیادہ نہیں پیاری آنکھیں

سیکڑوں شیشۂ دل بادہ کشوں کے توڑے

محتسب سے ہیں زیادہ وہ خماری آنکھیں

پھول نرگس کے گرے شاخ سے ڈالی جو نظر

تیری آنکھوں کی اطاعت میں ہیں ساری آنکھیں

فرش ہو جاتی ہیں تم پاؤں جہاں رکھتے ہو

ادب آموز محبت ہیں ہماری آنکھیں

بعد مدت کے ذرا ہوش میں آیا ہوں آج

پھر دکھا دے مجھے ساقی وہ خماری آنکھیں

اشک خونیں سے اسیری میں اٹھا لطف بہار

ہے قفس رشک چمن ابر بہاری آنکھیں

کیا کریں بزم حسیناں میں تعشقؔ جا کر

نہ رہیں قابل نظارہ ہماری آنکھیں

تعشق لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Josh Par Thin Sifat-e-abr-e-bahaari Aankhen

Taashshuq Lakhnavi

josh par thin sifat-e-abr-e-bahaari aankhen
ba gain aansuon ke sath hamari aankhen

hain jilau mein sifat-e-abr-e-bahaari aankhen
uThne deti hain kahan gard-e-sawari aankhen

kyun asiran-e-qafas ki taraf aana chhoDa
pher lin tu ne bhi ai baad-e-bahaari aankhen

samne aa gai gul-gasht mein nargis shayad
palkon se chin-ba-jabin hain jo tumhaari aankhen

kya durr-e-ashk se hain daman-e-mizhgan mamlu
kab zaban hai ki karen shukr-guzari aankhen

dekhte hain taraf-e-chah-e-zaqan ulfat se
muft mein hum ko Duboti hain hamari aankhen

shoKHiyan aahuon ki zehn mein kab aati hain
kuchh dinon hum ne bhi dekhi thin tumhaari aankhen

qatra-e-ab ko muhtaj kiya gardun ne
yaad-e-ayyam ki thin chashma-e-jari aankhen

dur se dekh ke tum ko koi ji bharta hai
kar rahi hain faqat ayyam-guzari aankhen

abr ko dekh ke har martaba josh aata hai
ab to aain hain mere zabt se aari aankhen

jab haTa aaina aage se huin kya bechain
apne par aap hi aashiq hain tumhaari aankhen

lutf dekha na kisi chiz ka ashkon ke siwa
aain thin rone ko duniya mein hamari aankhen

kahti hai bhar ke dam-e-sard KHizan mein bulbul
DhunDhti hain tujhe ai fasl-e-bahaari aankhen

tum ko sharm aati hai hum qabil-e-nazzara nahin
na raha husn tumhaara na hamari aankhen

kyun charagah-e-ghazalan na kahun palkon ko
phir rahi hain meri nazron mein tumhaari aankhen

roun kis waste gar samne aana chhoDa
aap ko husn hai pyara mujhe pyari aankhen

kor ho jaun magar ishq mein rone ko na rok
naseha dil se ziyaada nahin pyari aankhen

saikDon shisha-e-dil baada-kashon ke toDe
mohtasib se hain ziyaada wo KHumari aankhen

phul nargis ke gire shaKH se Dali jo nazar
teri aankhon ki itaat mein hain sari aankhen

farsh ho jati hain tum panw jahan rakhte ho
adab-amoz-e-mohabbat hain hamari aankhen

baad muddat ke zara hosh mein aaya hun aaj
phir dikha de mujhe saqi wo KHumari aankhen

ashk-e-KHunin se asiri mein uTha lutf-e-bahaar
hai qafas rashk-e-chaman abar-e-bahaari aankhen

kya karen bazm-e-hasinan mein 'tashushuq' ja kar
na rahin qabil-e-nazzara hamari aankhen

(500) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Josh Par Thin Sifat-e-abr-e-bahaari Aankhen written by Taashshuq Lakhnavi at UrduPoint. Josh Par Thin Sifat-e-abr-e-bahaari Aankhen is one of the masterpieces written by Taashshuq Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Taashshuq Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Taashshuq Lakhnavi' above.

Josh Par Thin Sifat-e-abr-e-bahaari Aankhen is a widely read Urdu Ghazal. If you like Josh Par Thin Sifat-e-abr-e-bahaari Aankhen, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.