Na Dare Barq Se Dil Ki Hai KaDi Meri Aankh, Urdu Ghazal By Taashshuq Lakhnavi

Na Dare Barq Se Dil Ki Hai KaDi Meri Aankh is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Taashshuq Lakhnavi. Na Dare Barq Se Dil Ki Hai KaDi Meri Aankh comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Dare Barq Se Dil Ki Hai KaDi Meri Aankh on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ ڈرے برق سے دل کی ہے کڑی میری آنکھ

تعشق لکھنوی

نہ ڈرے برق سے دل کی ہے کڑی میری آنکھ

اس کی زنجیر طلائی سے لڑی میری آنکھ

اپنے بیمار کو رکھتی ہے چھپا کر تہ خاک

کہتے ہیں صاحب غیرت ہے بڑی میری آنکھ

خاک میں مل کے عیاں ہوں گل نرگس بن کر

دیکھ لے گر تری پھولوں کی چھڑی میری آنکھ

اس طرح ذبح کیا تیغ نگہ سے مجھ کو

خود وہ کہتے ہیں کہ ظالم ہے بڑی میری آنکھ

دل میں ہے کچھ اثر جوش محبت اب تک

تر ہوئی دیکھ کے ساون کی جھڑی میری آنکھ

حسرت دید میں پتھرا کے بنی سنگ در

نہ ہٹی پھر ترے در پر جو اڑی میری آنکھ

رات بھر اشک کے دانوں پہ گنا کرتی ہے

فرقت یار میں ایک ایک گھڑی میری آنکھ

دل کے ٹکڑے مری پلکوں میں جو دیکھا تو کہا

جانتی تھی انہیں پھولوں کی چھڑی میری آنکھ

رکھ لیے پیش حباب لب جو منہ پر ہاتھ

نظر آئی انہیں دریا میں پڑی میری آنکھ

دوڑ کر مجھ سے گلے مل گئے ملتے ہی نظر

دل کی تقدیر لڑی یا کہ لڑی میری آنکھ

اے شب وصل نہ معلوم یہ کیا کر گئی تو

بند ہوتی نہیں اب کوئی گھڑی میری آنکھ

کہتے ہیں آنکھ لڑاتے ہی تو پتھر بن جائے

ہے ترا دل تو بہت نرم کڑی میری آنکھ

یاد خال رخ جاناں کی مدد سے ناصح

شب فرقت کے ستاروں سے لڑی میری آنکھ

ہو گئی فرط نزاکت سے حیا کی شہرت

آ گیا ان کو پسینہ جو لڑی میری آنکھ

ہے جو اشکوں میں اداہٹ تو نہ گھبرا اے دل

روئی ہے دیکھ کے مسی کی دھڑی میری آنکھ

تعشق لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Dare Barq Se Dil Ki Hai KaDi Meri Aankh

Taashshuq Lakhnavi

na Dare barq se dil ki hai kaDi meri aankh
us ki zanjir-e-talai se laDi meri aankh

apne bimar ko rakhti hai chhupa kar tah-e-KHak
kahte hain sahab-e-ghairat hai baDi meri aankh

KHak mein mil ke ayan hun gul-e-nargis ban kar
dekh le gar teri phulon ki chhaDi meri aankh

is tarah zabh kiya tegh-e-nigah se mujh ko
KHud wo kahte hain ki zalim hai baDi meri aankh

dil mein hai kuchh asar-e-josh-e-mohabbat ab tak
tar hui dekh ke sawan ki jhaDi meri aankh

hasrat-e-did mein pathra ke bani sang-e-dar
na haTi phir tere dar par jo aDi meri aankh

raat bhar ashk ke danon pe gina karti hai
furqat-e-yar mein ek ek ghaDi meri aankh

dil ke TukDe meri palkon mein jo dekha to kaha
jaanti thi inhen phulon ki chhaDi meri aankh

rakh liye pesh-e-hubab-e-lab-e-ju munh par hath
nazar aai unhen dariya mein paDi meri aankh

dauD kar mujh se gale mil gae milte hi nazar
dil ki taqdir laDi ya ki laDi meri aankh

ai shab-e-wasl na malum ye kya kar gai tu
band hoti nahin ab koi ghaDi meri aankh

kahte hain aankh laDate hi tu patthar ban jae
hai tera dil to bahut narm kaDi meri aankh

yaad-e-KHal-e-ruKH-e-jaanan ki madad se naseh
shab furqat ke sitaron se laDi meri aankh

ho gai fart-e-nazakat se haya ki shohrat
aa gaya un ko pasina jo laDi meri aankh

hai jo ashkon mein udahaT to na ghabra ai dil
roi hai dekh ke missi ki dhaDi meri aankh

(369) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Dare Barq Se Dil Ki Hai KaDi Meri Aankh written by Taashshuq Lakhnavi at UrduPoint. Na Dare Barq Se Dil Ki Hai KaDi Meri Aankh is one of the masterpieces written by Taashshuq Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Taashshuq Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Taashshuq Lakhnavi' above.

Na Dare Barq Se Dil Ki Hai KaDi Meri Aankh is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Dare Barq Se Dil Ki Hai KaDi Meri Aankh, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.