Ta-sahar Ki Hai Fughan Jaan Ke Ghafil Mujhko, Urdu Ghazal By Taashshuq Lakhnavi

Ta-sahar Ki Hai Fughan Jaan Ke Ghafil Mujhko is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Taashshuq Lakhnavi. Ta-sahar Ki Hai Fughan Jaan Ke Ghafil Mujhko comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ta-sahar Ki Hai Fughan Jaan Ke Ghafil Mujhko on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تا سحر کی ہے فغاں جان کے غافل مجھ کو

تعشق لکھنوی

تا سحر کی ہے فغاں جان کے غافل مجھ کو

رات بھر آج پکارا ہے مرا دل مجھ کو

درد و غم سے جو تپاں تھا وہ ملا دل مجھ کو

اس لیے دفن کیا ہے لب ساحل مجھ کو

بار حسن آپ سے لیلیٰ کا اٹھایا نہ گیا

نہ لیا قیس نے جس کو وہ ملا دل مجھ کو

غیر پھر غیر ہیں آخر ہیں پھر اپنے اپنے

یاد کرتا ہے ترے پاس مرا دل مجھ کو

بار خاطر ہی اگر ہے تو عنایت کیجے

آپ کو حسن مبارک ہو مرا دل مجھ کو

فصل گل آتے ہی صحراے عدم کو پہونچا

روکتے رہ گئے اغلال و سلاسل مجھ کو

مر گیا اشک جو آنکھوں سے بہے آہ کے ساتھ

آ گئی نیند ہوا میں لب ساحل مجھ کو

کیا عداوت ہے کہ جس دن سے ہوا ہوں زخمی

دیکھ جاتا ہے وہ رشک مہ کامل مجھ کو

شب کو تم سوئی تھی کیا سوئے فلک منہ کر کے

نظر آیا نہ سحر تک مہ کامل مجھ کو

پاؤں تک زلف تری یار بڑھ آئی شاید

آج بھاری نظر آتی ہے سلاسل مجھ کو

اثر ضعف سے ہوں قطرۂ اشک خونی

رحم کر دے کفن دامن قاتل مجھ کو

تعشق لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ta-sahar Ki Hai Fughan Jaan Ke Ghafil Mujhko

Taashshuq Lakhnavi

ta-sahar ki hai fughan jaan ke ghafil mujh ko
raat bhar aaj pukara hai mera dil mujh ko

dard-o-gham se jo tapan tha wo mila dil mujh ko
is liye dafn kiya hai lab-e-sahil mujh ko

bar-e-husn aap se laila ka uThaya na gaya
na liya qais ne jis ko wo mila dil mujh ko

ghair phir ghair hain aaKHir hain phir apne apne
yaad karta hai tere pas mera dil mujh ko

bar-e-KHatir hi agar hai to inayat kije
aap ko husn mubarak ho mera dil mujh ko

fasl-e-gul aate hi sahra-e-adam ko pahuncha
rokte rah gae aghlal-o-salasil mujh ko

mar gaya ashk jo aankhon se bahe aah ke sath
aa gai nind hawa mein lab-e-sahil mujh ko

kya adawat hai ki jis din se hua hun zaKHmi
dekh jata hai wo rashk-e-mah-e-kaamil mujh ko

shab ko tum soi thi kya su-e-falak munh kar ke
nazar aaya na sahar tak mah-e-kaamil mujh ko

panw tak zulf teri yar baDh aai shayad
aaj bhaari nazar aati hai salasil mujh ko

asar-e-zoaf se hun qatra-e-ashk-e-KHuni
rahm kar de kafan-e-daman-e-qatil mujh ko

(368) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ta-sahar Ki Hai Fughan Jaan Ke Ghafil Mujhko written by Taashshuq Lakhnavi at UrduPoint. Ta-sahar Ki Hai Fughan Jaan Ke Ghafil Mujhko is one of the masterpieces written by Taashshuq Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Taashshuq Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Taashshuq Lakhnavi' above.

Ta-sahar Ki Hai Fughan Jaan Ke Ghafil Mujhko is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ta-sahar Ki Hai Fughan Jaan Ke Ghafil Mujhko, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.