Iqrar Ka Matlab Ho Ki Inkar Ke Mani, Urdu Ghazal By Tahir Adeem

Iqrar Ka Matlab Ho Ki Inkar Ke Mani is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tahir Adeem. Iqrar Ka Matlab Ho Ki Inkar Ke Mani comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Iqrar Ka Matlab Ho Ki Inkar Ke Mani on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اقرار کا مطلب ہو کہ انکار کے معنی

طاہر عدیم

اقرار کا مطلب ہو کہ انکار کے معنی

کوئی تو ہو سمجھے مری گفتار کے معنی

اس جیسا کوئی ہو تو کہے اس کی مثالیں

ہو یار سا کوئی تو کرے یار کے معنی

یہ جسم دل و جاں تو ہیں بن مانگے ہی تیرے

پھر کیا ہیں ترے دست طلب گار کے معنی

اک وہ کہ اٹھاتا گیا بنیاد برابر

اک میں کہ سمجھتا گیا دیوار کے معنی

بچپن ہے جوانی ہے بڑھاپا ہے یہ کیا ہے

مرنا ہی اگر ہے تو پھر ادوار کے معنی

پھولوں کو پھلوں کو سر افکار سجایا

یعنی کہ کیے یوں لب و رخسار کے معنی

جاتا ہے تو جاتے ہوئے دل کو بھی جلا جا

جب تو ہی نہ ٹھہرے گا تو گھر بار کے معنی

ہر چیز یہاں اپنے لوازم کی ہے محتاج

صاحب ہی نہ ٹھہرو گے تو دستار کے معنی

اے کاش کہ جس کے لیے کہتا ہوں میں طاہرؔ

وہ مجھ کو بتائے مرے اشعار کے معنی

طاہر عدیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Iqrar Ka Matlab Ho Ki Inkar Ke Mani

Tahir Adeem

iqrar ka matlab ho ki inkar ke mani
koi to ho samjhe meri guftar ke mani

us jaisa koi ho to kahe us ki misalen
ho yar sa koi to kare yar ke mani

ye jism dil-o-jaan to hain bin mange hi tere
phir kya hain tere dast-e-talabgar ke mani

ek wo ki uThata gaya buniyaad barabar
ek main ki samajhta gaya diwar ke mani

bachpan hai jawani hai buDhapa hai ye kya hai
marna hi agar hai to phir adwar ke mani

phulon ko phalon ko sar-e-afkar sajaya
yani ki kiye yun lab-o-ruKHsar ke mani

jata hai to jate hue dil ko bhi jala ja
jab tu hi na Thahrega to ghar-bar ke mani

har chiz yahan apne lawazim ki hai muhtaj
sahab hi na Thahroge to dastar ke mani

ai kash ki jis ke liye kahta hun main 'tahir'
wo mujh ko batae mere ashaar ke mani

(608) ووٹ وصول ہوئے

You can read Iqrar Ka Matlab Ho Ki Inkar Ke Mani written by Tahir Adeem at UrduPoint. Iqrar Ka Matlab Ho Ki Inkar Ke Mani is one of the masterpieces written by Tahir Adeem. You can also find the complete poetry collection of Tahir Adeem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tahir Adeem' above.

Iqrar Ka Matlab Ho Ki Inkar Ke Mani is a widely read Urdu Ghazal. If you like Iqrar Ka Matlab Ho Ki Inkar Ke Mani, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.