Jo Teri Bandagi Se Milta Hai, Urdu Ghazal By Tahir Adeem

Jo Teri Bandagi Se Milta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tahir Adeem. Jo Teri Bandagi Se Milta Hai comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Jo Teri Bandagi Se Milta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو تری بندگی سے ملتا ہے

طاہر عدیم

جو تری بندگی سے ملتا ہے

لطف وہ کم کسی سے ملتا ہے

ہے یہ کافی ترا مرا شجرہ

ایک ہی آدمی سے ملتا ہے

لاکھ برہم ہو وہ مگر یارو

پھر بھی شائستگی سے ملتا ہے

دن کو لگتا ہے دھوپ اس کا مزاج

رات کو چاندنی سے ملتا ہے

اب تو مجھ کو وہ میری رگ رگ میں

دوڑتی سنسنی سے ملتا ہے

ہوں مہ و مہر یا نجوم تمام

وہ کسی نہ کسی سے ملتا ہے

لاکھ بھٹکوں میں ظلمتوں میں مرا

اک سرا روشنی سے ملتا ہے

قابل دید رنگ ہوتے ہیں

جب کبھی سادگی سے ملتا ہے

پہلے میری خوشی سے ملتا تھا

اب وہ اپنی خوشی سے ملتا ہے

شکر صد شکر کہ مرا ظاہر

حالت باطنی سے ملتا ہے

جو مجھے موجب مسرت ہے

درد بھی تو اسی سے ملتا ہے

اس میں ہر رنگ عود آیا ہے

وہ مری شاعری سے ملتا ہے

گلشن دل میں جب بہاریں ہوں

کون پھر بیکلی سے ملتا ہے

ہجر میں بے سکون رہتا ہوں

چین بھی ہجر ہی سے ملتا ہے

اب تو اس زندگی کا ہر لمحہ

لمحۂ آخری سے ملتا ہے

دیکھ کر ظرف پاس آتا ہے

درد کم ہی کسی سے ملتا ہے

سلسلہ ہائے وسعت صحرا

دل کی اس تشنگی سے ملتا ہے

جب سے وہ آنکھ کے فریم میں ہے

جو ہے ملتا اسی سے ملتا ہے

اے محقق سراغ قتل مرا

آخرش زندگی سے ملتا ہے

روز وہ ڈھونڈتے ہیں طاہرؔ کو

روز اس کی گلی سے ملتا ہے

طاہر عدیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Teri Bandagi Se Milta Hai

Tahir Adeem

jo teri bandagi se milta hai
lutf wo kam kisi se milta hai

hai ye kafi tera mera shajara
ek hi aadmi se milta hai

lakh barham ho wo magar yaro
phir bhi shaistagi se milta hai

din ko lagta hai dhup us ka mizaj
raat ko chandni se milta hai

ab to mujh ko wo meri rag rag mein
dauDti sansani se milta hai

hon mah-o-mehr ya nujum tamam
wo kisi na kisi se milta hai

lakh bhaTkun main zulmaton mein mera
ek sira raushni se milta hai

qabil-e-did rang hote hain
jab kabhi sadgi se milta hai

pahle meri KHushi se milta tha
ab wo apni KHushi se milta hai

shukr-sad-shukr ki mera zahir
haalat-e-baatini se milta hai

jo mujhe maujib-e-masarrat hai
dard bhi to usi se milta hai

us mein har rang ud aaya hai
wo meri shairi se milta hai

gulshan-e-dil mein jab bahaaren hon
kaun phir bekali se milta hai

hijr mein be-sukun rahta hun
chain bhi hijr hi se milta hai

ab to is zindagi ka har lamha
lamha-e-aKHiri se milta hai

dekh kar zarf pas aata hai
dard kam hi kisi se milta hai

silsila-ha-e-wusat-e-sahra
dil ki us tishnagi se milta hai

jab se wo aankh ke frame mein hai
jo hai milta usi se milta hai

ai muhaqqiq suragh-e-qatl mera
aaKHirash zindagi se milta hai

roz wo DhunDte hain 'tahir' ko
roz us ki gali se milta hai

(485) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jo Teri Bandagi Se Milta Hai written by Tahir Adeem at UrduPoint. Jo Teri Bandagi Se Milta Hai is one of the masterpieces written by Tahir Adeem. You can also find the complete poetry collection of Tahir Adeem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tahir Adeem' above.

Jo Teri Bandagi Se Milta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Teri Bandagi Se Milta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.