Kisi KHamosh Chehre Par Wo Itminan Ka Manzar, Urdu Ghazal By Tahir Adeem

Kisi KHamosh Chehre Par Wo Itminan Ka Manzar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tahir Adeem. Kisi KHamosh Chehre Par Wo Itminan Ka Manzar comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kisi KHamosh Chehre Par Wo Itminan Ka Manzar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کسی خاموش چہرے پر وہ اطمینان کا منظر

طاہر عدیم

کسی خاموش چہرے پر وہ اطمینان کا منظر

جگر کو کاٹتا ہے اب بھی قبرستان کا منظر

عذاب شدت کرب جدائی کو وہ کیا جانے

کہ دیکھا ہی نہ ہو جس نے نکلتی جان کا منظر

اٹھی کرسی کٹا سبزہ گرے پتے اڑی چڑیاں

تمہارے بعد کیا سے کیا ہوا دالان کا منظر

کہاں ہوں کون ہوں یہ پوچھتا پھرتا ہوں لوگوں سے

کہ مجھ سے کھو گیا شاید مری پہچان کا منظر

دریدہ نقش زخمی لفظ لرزیدہ قطاروں میں

لہو میں کس نے رنگا ہے مرے دیوان کا منظر

ہمارے قتل پر چشم فلک میں خون اترے گا

فضاؤں میں سجے گا سرخ سے طوفان کا منظر

نہا کے پیار کی بارش میں اس نے دھوپ جب پہنی

نظر میں گھل گیا قوس قزح کے تھان کا منظر

درون ذہن جب زیبائش افکار ہی نہ ہو

گھروں میں کیا ہے پھر آرائش سامان کا منظر

وہ جتنے دیپ اندر ہیں وہ آنکھوں میں ہی جلتے ہیں

اور آنکھیں ہی دکھاتی ہیں دل ویران کا منظر

سمجھتا ہوں تری ساری کہانی میں کہ کیا ہوگی

ہے دکھنے میں اگر ایسا ترے عنوان کا منظر

بھری دنیا کا طاہرؔ چپہ چپہ چھان مارا ہے

نہیں پایا کہیں بھی شہر پاکستان کا منظر

طاہر عدیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kisi KHamosh Chehre Par Wo Itminan Ka Manzar

Tahir Adeem

kisi KHamosh chehre par wo itminan ka manzar
jigar ko kaTta hai ab bhi qabristan ka manzar

azab-e-shiddat-e-karb-e-judai ko wo kya jaane
ki dekha hi na ho jis ne nikalti jaan ka manzar

uThi kursi kaTa sabza gire patte uDi chiDiyan
tumhaare baad kya se kya hua dalan ka manzar

kahan hun kaun hun ye puchhta phirta hun logon se
ki mujh se kho gaya shayad meri pahchan ka manzar

darida-naqsh zaKHmi lafz larzida qataron mein
lahu mein kis ne ranga hai mere diwan ka manzar

hamare qatl par chashm-e-falak mein KHun utrega
fazaon mein sajega surKH se tufan ka manzar

naha ke pyar ki barish mein us ne dhup jab pahni
nazar mein ghul gaya qaus-e-quzah ke than ka manzar

darun-e-zehn jab zebaish-e-afkar hi na ho
gharon mein kya hai phir aaraish-e-saman ka manzar

wo jitne dip andar hain wo aankhon mein hi jalte hain
aur aankhen hi dikhati hain dil-e-viran ka manzar

samajhta hun teri sari kahani main ki kya hogi
hai dikhne mein agar aisa tere unwan ka manzar

bhari duniya ka 'tahir' chappa chappa chhan mara hai
nahin paya kahin bhi shahr-e-pakistan ka manzar

(448) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kisi KHamosh Chehre Par Wo Itminan Ka Manzar written by Tahir Adeem at UrduPoint. Kisi KHamosh Chehre Par Wo Itminan Ka Manzar is one of the masterpieces written by Tahir Adeem. You can also find the complete poetry collection of Tahir Adeem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tahir Adeem' above.

Kisi KHamosh Chehre Par Wo Itminan Ka Manzar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kisi KHamosh Chehre Par Wo Itminan Ka Manzar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.