Mohabbat Ka Talatum-KHez Tufan Dil Se UThta Hai, Urdu Ghazal By Talat Siddiqui Nahtori

Mohabbat Ka Talatum-KHez Tufan Dil Se UThta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Talat Siddiqui Nahtori. Mohabbat Ka Talatum-KHez Tufan Dil Se UThta Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mohabbat Ka Talatum-KHez Tufan Dil Se UThta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محبت کا تلاطم خیز طوفاں دل سے اٹھتا ہے

طلعت صدیقی نہٹوری

محبت کا تلاطم خیز طوفاں دل سے اٹھتا ہے

یہ وہ سیلاب ہے جو سینۂ ساحل سے اٹھتا ہے

وفور شوق دید و جذبۂ کامل سے اٹھتا ہے

نقاب اٹھتا تو ہے لیکن بڑی مشکل سے اٹھتا ہے

کوئی جب با دل ناخواستہ محفل سے اٹھتا ہے

قدم اٹھتا تو ہے اس کا مگر مشکل سے اٹھتا ہے

بھٹکتا ہے کوئی گم کردہ منزل راہ میں شاید

غبار اس کا ابھی تک جادۂ منزل سے اٹھتا ہے

دم نظارہ گر جاتا ہے مجنوں کی نگاہوں پر

وہی پردہ جو لیلیٰ کے در محمل سے اٹھتا ہے

جلاتی شمع ہے یا آپ جل جاتا ہے پروانہ

بہر صورت یہ فتنہ آپ کی محفل سے اٹھتا ہے

کلیجے میں کبھی جب آتش الفت سلگتی ہے

جگر سے کچھ دھواں اٹھتا ہے شعلہ دل سے اٹھتا ہے

کہو باد مخالف سے بتا دو موج طوفاں کو

مری کشتی کا لنگر دامن ساحل سے اٹھتا ہے

تصور میں نظر آتا ہے جلوہ بے نقاب ان کا

جب آنکھیں بند ہوتی ہیں تو پردہ دل سے اٹھتا ہے

ابھرنا ہے تو یاد تلخیٔ ماضی سے کیا حاصل

جب اٹھتا ہے کوئی امید مستقبل سے اٹھتا ہے

فرشتے آج تک حیران ہیں انساں کی ہمت پر

یہ بار عشق اے طلعتؔ بڑی مشکل سے اٹھتا ہے

طلعت صدیقی نہٹوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mohabbat Ka Talatum-KHez Tufan Dil Se UThta Hai

Talat Siddiqui Nahtori

mohabbat ka talatum-KHez tufan dil se uThta hai
ye wo sailab hai jo sina-e-sahil se uThta hai

wufur-e-shauq-e-did-o-jazba-e-kaamil se uThta hai
naqab uThta to hai lekin baDi mushkil se uThta hai

koi jab ba-dil-e-naKHwasta mahfil se uThta hai
qadam uThta to hai us ka magar mushkil se uThta hai

bhaTakta hai koi gum-karda-manzil rah mein shayad
ghubar us ka abhi tak jada-e-manzil se uThta hai

dam-e-nazzara gir jata hai majnun ki nigahon par
wahi parda jo laila ke dar-e-mahmil se uThta hai

jalati shama hai ya aap jal jata hai parwana
bahar-surat ye fitna aap ki mahfil se uThta hai

kaleje mein kabhi jab aatish-e-ulfat sulagti hai
jigar se kuchh dhuan uThta hai shoala dil se uThta hai

kaho baad-e-muKHalif se bata do mauj-e-tufan ko
meri kashti ka langar daman-e-sahil se uThta hai

tasawwur mein nazar aata hai jalwa be-naqab un ka
jab aankhen band hoti hain to parda dil se uThta hai

ubharna hai to yaad-e-talKHi-e-mazi se kya hasil
jab uThta hai koi ummid-e-mustaqbil se uThta hai

farishte aaj tak hairan hain insan ki himmat par
ye bar-e-ishq ai 'talat' baDi mushkil se uThta hai

(405) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mohabbat Ka Talatum-KHez Tufan Dil Se UThta Hai written by Talat Siddiqui Nahtori at UrduPoint. Mohabbat Ka Talatum-KHez Tufan Dil Se UThta Hai is one of the masterpieces written by Talat Siddiqui Nahtori. You can also find the complete poetry collection of Talat Siddiqui Nahtori by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Talat Siddiqui Nahtori' above.

Mohabbat Ka Talatum-KHez Tufan Dil Se UThta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mohabbat Ka Talatum-KHez Tufan Dil Se UThta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.