Sarab Jaan Ke Roya Ki Be-sabab To Nahin, Urdu Ghazal By Tanvir Wasfi

Sarab Jaan Ke Roya Ki Be-sabab To Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tanvir Wasfi. Sarab Jaan Ke Roya Ki Be-sabab To Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sarab Jaan Ke Roya Ki Be-sabab To Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سراب جان کے رویا کہ بے سبب تو نہیں

تنویر وصفی

سراب جان کے رویا کہ بے سبب تو نہیں

نظر کے سامنے صحرائے کم طلب تو نہیں

درون جاں ہے بس اک بازگشت آہ و فغاں

نصیب سنگ صفت نغمہ و طرب تو نہیں

گلاب شکل شگافوں کی دل دہی ہے عبث

نسیم صبح یہ ہنگام شب دو شب تو نہیں

عداوتوں کا کرم ہے کہ آج زندہ ہوں

وگرنہ شوق میں جینا یوں جاں بہ لب تو نہیں

سحر طراز سی لگنے لگی ہے شام غم

چراغ داغ تمنا ہو کچھ عجب تو نہیں

بجز قیاس یقیں کی اساس تھی بھی کیا

سو کچھ گماں ہی حقیقت ہیں آج سب تو نہیں

نہ ڈھونڈ ہم کو کہ ہم ہیں صدائے گم گشتہ

فقط سکوت ہیں نالہ نہیں شغب تو نہیں

لے ٹھیک ٹھاک سی میں نے بھی کاٹ دی دنیا

یہ اور بات کہ جینے کا کوئی ڈھب تو نہیں

مجھے بھی یاروں نے تجھ سے جدا نہیں سمجھا

مرے مزاج پہ مانا کہ تیری چھب تو نہیں

بتوں کے عشق میں مومن کی کٹ گئی تو کیا

میاں یہ ہند ہے فارس نہیں عرب تو نہیں

ستم کے سامنے سر کا جھکانا نا ممکن

کبھی کی بات تھی اب چھوڑیئے کہ اب تو نہیں

سمجھیے یوں تو مجھے اپنا بندۂ بے دام

انا پہ حرف جو آنے لگے تو تب تو نہیں

مرے نوالوں کو اپنی عطا نہ گردانیں

حضور شاہ ہیں ہاں مانتا ہوں رب تو نہیں

یہ کون ہے جو گراں بار ہے سماعت پر

خبر تو لے کہیں تنویرؔ بے ادب تو نہیں

خدا کی مار ہے وصفیؔ سنبھل سکے تو سنبھل

ہے جائے شکر ابھی منزل غضب تو نہیں

تنویر وصفی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sarab Jaan Ke Roya Ki Be-sabab To Nahin

Tanvir Wasfi

sarab jaan ke roya ki be-sabab to nahin
nazar ke samne sahra-e-kam-talab to nahin

darun-e-jaan hai bas ek bazgasht-e-ah-o-fughan
nasib sang-sifat naghma-o-tarab to nahin

gulab-shakl shagafon ki dil-dahi hai abas
nasim-e-subh ye hangam-e-shab-do-shab to nahin

adawaton ka karam hai ki aaj zinda hun
wagarna shauq mein jina yun jaan-ba-lab to nahin

sahar-taraaz si lagne lagi hai sham-e-gham
charagh-e-dagh-e-tamanna ho kuchh ajab to nahin

ba-juz qayas yaqin ki asas thi bhi kya
so kuchh guman hi haqiqat hain aaj sab to nahin

na DhunD hum ko ki hum hain sada-e-gum-gashta
faqat sukut hain nala nahin shaghab to nahin

le Thik-Thak si main ne bhi kaT di duniya
ye aur baat ki jine ka koi Dhab to nahin

mujhe bhi yaron ne tujh se juda nahin samjha
mere mizaj pe mana ki teri chhab to nahin

buton ke ishq mein momin ki kaT gai to kya
miyan ye hind hai faras nahin arab to nahin

sitam ke samne sar ka jhukana na-mumkin
kabhi ki baat thi ab chhoDiye ki ab to nahin

samajhiye yun to mujhe apna banda-e-be-dam
ana pe harf jo aane lage to tab to nahin

mere niwalon ko apni ata na gardanen
huzur shah hain han manta hun rab to nahin

ye kaun hai jo giran-bar hai samaat par
KHabar to le kahin 'tanwir'-e-be-adab to nahin

KHuda ki mar hai 'wasfi' sanbhal sake to sanbhal
hai ja-e-shukr abhi manzil-e-ghazab to nahin

(196) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sarab Jaan Ke Roya Ki Be-sabab To Nahin written by Tanvir Wasfi at UrduPoint. Sarab Jaan Ke Roya Ki Be-sabab To Nahin is one of the masterpieces written by Tanvir Wasfi. You can also find the complete poetry collection of Tanvir Wasfi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tanvir Wasfi' above.

Sarab Jaan Ke Roya Ki Be-sabab To Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sarab Jaan Ke Roya Ki Be-sabab To Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.