Kya Gham Hai Agar Be-sar-o-saman Bahut Hain, Urdu Ghazal By Tarab Siddiqi

Kya Gham Hai Agar Be-sar-o-saman Bahut Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tarab Siddiqi. Kya Gham Hai Agar Be-sar-o-saman Bahut Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kya Gham Hai Agar Be-sar-o-saman Bahut Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کیا غم ہے اگر بے سر و سامان بہت ہیں

طرب صدیقی

کیا غم ہے اگر بے سر و سامان بہت ہیں

اس شہر میں کردار کے دھنوان بہت ہیں

چاہو تو تغافل کے نئے تیر چلاؤ

ٹوٹے ہوئے دل میں ابھی ارمان بہت ہیں

دزدیدہ نگاہی یہ حیا بار تبسم

اس بزم میں لٹ جانے کے امکان بہت ہیں

کھو جائیں نہ یہ گوہر نایاب غم عشق

بازار محبت سے یہ انجان بہت ہیں

جو زخم بھی تو نے دئے تازہ ہیں ابھی تک

اے گردش دوراں ترے احسان بہت ہیں

طے کرکے زمانے میں ترقی کے منازل

کیا بات ہے ہم لوگ پریشان بہت ہیں

ہر داغ سیاست کے سفیدی میں چھپائے

یہ راہنما صاحب ایمان بہت ہیں

بے خوف سیاست کے پس پردہ ہیں مجرم

کیا بندشیں قانون کی بے جان بہت ہیں

ہم حوصلہ ساماں ہوئے کیا شدت غم میں

ارباب جہاں دیکھ کے حیران بہت ہیں

اب اسلحہ سازی پہ ہے طاقت کا توازن

یہ فتنہ و شر کے لئے سامان بہت ہیں

برسوں سے طربؔ رشتوں پہ جو برف جمی ہے

اب اس کے پگھل جانے کے امکان بہت ہیں

طرب صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kya Gham Hai Agar Be-sar-o-saman Bahut Hain

Tarab Siddiqi

kya gham hai agar be-sar-o-saman bahut hain
is shahr mein kirdar ke dhanwan bahut hain

chaho to taghaful ke nae tir chalao
TuTe hue dil mein abhi arman bahut hain

duzdida-nigahi ye haya-bar tabassum
is bazm mein luT jaane ke imkan bahut hain

kho jaen na ye gauhar-e-nayab-e-gham-e-ishq
bazar-e-mohabbat se ye anjaan bahut hain

jo zaKHm bhi tu ne diye taza hain abhi tak
ai gardish-e-dauran tere ehsan bahut hain

tai karke zamane mein taraqqi ke manazil
kya baat hai hum log pareshan bahut hain

har dagh siyasat ke safedi mein chhupae
ye rah-numa sahib-e-iman bahut hain

be-KHauf siyasat ke pas-e-parda hain mujrim
kya bandishen qanun ki be-jaan bahut hain

hum hausla-saman hue kya shiddat-e-gham mein
arbab-e-jahan dekh ke hairan bahut hain

ab aslaha-sazi pe hai taqat ka tawazun
ye fitna-o-shar ke liye saman bahut hain

barson se 'tarab' rishton pe jo barf jami hai
ab us ke pighal jaane ke imkan bahut hain

(237) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kya Gham Hai Agar Be-sar-o-saman Bahut Hain written by Tarab Siddiqi at UrduPoint. Kya Gham Hai Agar Be-sar-o-saman Bahut Hain is one of the masterpieces written by Tarab Siddiqi. You can also find the complete poetry collection of Tarab Siddiqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tarab Siddiqi' above.

Kya Gham Hai Agar Be-sar-o-saman Bahut Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kya Gham Hai Agar Be-sar-o-saman Bahut Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.