Ghamon Mein Bhi Masarrat Ki Farawani Nahin Jati, Urdu Ghazal By Tarab Siddiqi

Ghamon Mein Bhi Masarrat Ki Farawani Nahin Jati is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tarab Siddiqi. Ghamon Mein Bhi Masarrat Ki Farawani Nahin Jati comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ghamon Mein Bhi Masarrat Ki Farawani Nahin Jati on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

غموں میں بھی مسرت کی فراوانی نہیں جاتی

طرب صدیقی

غموں میں بھی مسرت کی فراوانی نہیں جاتی

ہمارے زخم دل کی خندہ سامانی نہیں جاتی

نہ جانے کون سے عالم میں لے آیا جنوں مجھ کو

کہ منزل سامنے ہے اور پہچانی نہیں جاتی

بظاہر تو چمن میں ہر طرف جشن بہاراں ہے

نہ جانے کیوں گلوں کی چاک دامانی نہیں جاتی

ہماری خیریت وہ پوچھتے رہتے ہیں غیروں سے

خلش درد محبت کی بہ آسانی نہیں جاتی

مہ و خورشید و انجم پر کمندیں ڈالنے والو

سبب کیا ہے کہ ذہنوں کی پریشانی نہیں جاتی

ابھی تک خود غرض ہاتھوں میں ہے نظم چمن شاید

بہار آئی مگر گلشن کی ویرانی نہیں جاتی

ہماری کشتئ امید کے وہ ناخدا ٹھہرے

ابھی تک نبض طوفاں جن سے پہچانی نہیں جاتی

گزر جاتا ہے اک سایہ سا دل کی رہ گذاروں سے

غم ماضی کی اب تک فتنہ سامانی نہیں جاتی

طربؔ شاید وہی منزل ہے سرحد حسن جاناں کی

جہاں سے اور آگے عقل انسانی نہیں جاتی

طرب صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ghamon Mein Bhi Masarrat Ki Farawani Nahin Jati

Tarab Siddiqi

ghamon mein bhi masarrat ki farawani nahin jati
hamare zaKHm-e-dil ki KHanda-samani nahin jati

na jaane kaun se aalam mein le aaya junun mujh ko
ki manzil samne hai aur pahchani nahin jati

ba-zahir to chaman mein har taraf jashn-e-bahaaran hai
na jaane kyon gulon ki chaak-damani nahin jati

hamari KHairiyat wo puchhte rahte hain ghairon se
KHalish dard-e-mohabbat ki ba-asani nahin jati

mah-o-KHurshid-o-anjum par kamanden Dalne walo
sabab kya hai ki zehnon ki pareshani nahin jati

abhi tak KHud-gharaz hathon mein hai nazm-e-chaman shayad
bahaar aai magar gulshan ki virani nahin jati

hamari kashti-e-ummid ke wo naKHuda Thahre
abhi tak nabz-e-tufan jin se pahchani nahin jati

guzar jata hai ek saya sa dil ki rah-guzaron se
gham-e-mazi ki ab tak fitna-samani nahin jati

'tarab' shayad wahi manzil hai sarhad husn-e-jaanan ki
jahan se aur aage aql-e-insani nahin jati

(226) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ghamon Mein Bhi Masarrat Ki Farawani Nahin Jati written by Tarab Siddiqi at UrduPoint. Ghamon Mein Bhi Masarrat Ki Farawani Nahin Jati is one of the masterpieces written by Tarab Siddiqi. You can also find the complete poetry collection of Tarab Siddiqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tarab Siddiqi' above.

Ghamon Mein Bhi Masarrat Ki Farawani Nahin Jati is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ghamon Mein Bhi Masarrat Ki Farawani Nahin Jati, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.