Chandni Raat Mein Usne Mujhe Tanha Rakkha, Urdu Ghazal By Tarannum Shabbeer

Chandni Raat Mein Usne Mujhe Tanha Rakkha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tarannum Shabbeer. Chandni Raat Mein Usne Mujhe Tanha Rakkha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Chandni Raat Mein Usne Mujhe Tanha Rakkha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چاندنی رات میں اس نے مجھے تنہا رکھا

ترنم شبیر

چاندنی رات میں اس نے مجھے تنہا رکھا

چاند سے باتیں ہوئیں مجھ کو ترستا رکھا

اپنے غم خانے کو یادوں سے سجایا ہم نے

نیند سے پھر نہ کبھی خواب کا رشتہ رکھا

وہ جو کہتا تھا کبھی ساتھ نہ چھوڑے گا مرا

اس نے سورج کی طرح مجھ کو بھی جلتا رکھا

تلخ سوچیں ہیں کہ ہر بار بھٹک جاتی ہیں

اس محبت نے بھی ہم کو نہ کہیں کا رکھا

اے دل خستہ میں مانگوں بھی تو کیا تیرے لیے

تو نے خود ہی تو زمانے سے جدا سا رکھا

اٹھ کھڑی ہوتی ہے ہر بار بغاوت کر کے

نام بیٹی کا بھی جس ماں نے ملالہ رکھا

وہ جو موسم کی طرح خود کو بدل لیتا تھا

مجھ سے رشتہ بھی کچھ اس نے تھا ہوا سا رکھا

پھر مرے شہر کی فٹ پاتھ پہ تصویر بنی

ماں کی آغوش میں بیٹے کا ہے لاشہ رکھا

اب تو قسمت سے شکایت نہ زمانے سے گلہ

دکھ تو یہ ہے کہ مجھے تو نے ہی رسوا رکھا

دے دے خیرات محبت کی کبھی تو بھی مجھے

سامنے تیرے مرے دل کا ہے کاسہ رکھا

جب بھی تنقید کسی پر کبھی کرنا چاہی

سامنے دل کے خود اپنا بھی سراپا رکھا

ماہ و انجم کی ضیا بھی ہو مقدر اس کا

زیست میں جس نے مری آج اندھیرا رکھا

شہر دل میں ہی بسایا ہے نشیمن اپنا

گھر کے نقشے میں تری یاد کا نقشہ رکھا

صحن گلشن میں نئے پھول کھلا کرتے ہیں

اک ترا نام ترنمؔ نے جو غنچہ رکھا

ترنم شبیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chandni Raat Mein Usne Mujhe Tanha Rakkha

Tarannum Shabbeer

chandni raat mein us ne mujhe tanha rakkha
chand se baaten huin mujh ko tarasta rakkha

apne gham-KHane ko yaadon se sajaya hum ne
nind se phir na kabhi KHwab ka rishta rakkha

wo jo kahta tha kabhi sath na chhoDega mera
us ne suraj ki tarah mujh ko bhi jalta rakkha

talKH sochen hain ki har bar bhaTak jati hain
us mohabbat ne bhi hum ko na kahin ka rakkha

ai dil-e-KHasta main mangun bhi to kya tere liye
tu ne KHud hi to zamane se juda sa rakkha

uTh khaDi hoti hai har bar baghawat kar ke
nam beTi ka bhi jis man ne malala rakkha

wo jo mausam ki tarah KHud ko badal leta tha
mujh se rishta bhi kuchh us ne tha hawa sa rakha

phir mere shahr ki footpath pe taswir bani
man ki aaghosh mein beTe ka hai lasha rakkha

ab to qismat se shikayat na zamane se gila
dukh to ye hai ki mujhe tu ne hi ruswa rakkha

de de KHairaat mohabbat ki kabhi tu bhi mujhe
samne tere mere dil ka hai kasa rakkha

jab bhi tanqid kisi par kabhi karna chahi
samne dil ke KHud apna bhi sarapa rakkha

mah-o-anjum ki ziya bhi ho muqaddar us ka
zist mein jis ne meri aaj andhera rakkha

shahr-e-dil mein hi basaya hai nasheman apna
ghar ke naqshe mein teri yaad ka naqsha rakkha

sehn-e-gulshan mein nae phul khila karte hain
ek tera nam 'tarannum' ne jo ghuncha rakkha

(328) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chandni Raat Mein Usne Mujhe Tanha Rakkha written by Tarannum Shabbeer at UrduPoint. Chandni Raat Mein Usne Mujhe Tanha Rakkha is one of the masterpieces written by Tarannum Shabbeer. You can also find the complete poetry collection of Tarannum Shabbeer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tarannum Shabbeer' above.

Chandni Raat Mein Usne Mujhe Tanha Rakkha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chandni Raat Mein Usne Mujhe Tanha Rakkha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.