Kabhi Parda-dar Hun Main Raaz Ka Kabhi Hun Main Parda-e-raaz Mein, Urdu Ghazal By Taufeeq Hyderabadi

Kabhi Parda-dar Hun Main Raaz Ka Kabhi Hun Main Parda-e-raaz Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Taufeeq Hyderabadi. Kabhi Parda-dar Hun Main Raaz Ka Kabhi Hun Main Parda-e-raaz Mein comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Kabhi Parda-dar Hun Main Raaz Ka Kabhi Hun Main Parda-e-raaz Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کبھی پردہ در ہوں میں راز کا کبھی ہوں میں پردۂ راز میں

توفیق حیدرآبادی

کبھی پردہ در ہوں میں راز کا کبھی ہوں میں پردۂ راز میں

کہ حقیقت اک مری مشترک ہے حقیقت اور مجاز میں

یہ کہاں کے جلوے سما گئے یہ کہاں کی حیرتیں چھا گئیں

کہ ہزاروں آئنہ لگ گئے ہیں نگاہ آئنہ ساز میں

کبھی تو بھی طالب رحم ہو کبھی تو بھی غیر پہ جان دے

کبھی جلوہ گر ہو خدا کرے ترا ناز میرے نیاز میں

کبھی یہ بھی دیکھتے دیکھتے مری آنکھ سے نہ ٹپک پڑے

کہ گداز عالم خون دل ہے مرے جگر کے گداز میں

نہ کروں سلام جو کعبہ کو نہ کروں جو سجدہ تو کیا کروں

ہے خیال بت مرے سامنے میں کھڑا ہوا ہوں نماز میں

تری برق جلوہ جلا چکی تھی اٹھا کے پردۂ رخ مگر

مری بے خودی نے چھپا لیا مجھے اپنے پردۂ راز میں

مری شہرتیں مجھے کھینچ لائیں فریب دے کے وگرنہ میں

وہ طلسم عالم راز ہوں کہ رہا ہوں مدتوں راز میں

کسی طرح ہو تو گئی سحر مگر اب یہ ڈر ہے لگا ہوا

مری شام غم نہ شریک ہو کہیں ان کی زلف دراز میں

وہ طلسم گمشدگی ہوں میں کہ بقا ہے اپنی فنا مجھے

مری خامشی ہے نوا گری میں نہاں ہوں پردۂ ساز میں

توفیق حیدرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kabhi Parda-dar Hun Main Raaz Ka Kabhi Hun Main Parda-e-raaz Mein

Taufeeq Hyderabadi

kabhi parda-dar hun main raaz ka kabhi hun main parda-e-raaz mein
ki haqiqat ek meri mushtarak hai haqiqat aur majaz mein

ye kahan ke jalwe sama gae ye kahan ki hairaten chha gain
ki hazaron aaine lag gae hain nigah-e-aina-saz mein

kabhi tu bhi talib-e-rahm ho kabhi tu bhi ghair pe jaan de
kabhi jalwa-gar ho KHuda kare tera naz mere niyaz mein

kabhi ye bhi dekhte dekhte meri aankh se na Tapak paDe
ki gudaz aalam-e-KHun-e-dil hai mere jigar ke gudaz mein

na karun salam jo kaba ko na karun jo sajda to kya karun
hai KHayal-e-but mere samne main khaDa hua hun namaz mein

teri barq-e-jalwa jala chuki thi uTha ke parda-e-ruKH magar
meri be-KHudi ne chhupa liya mujhe apne parda-e-raaz mein

meri shohraten mujhe khinch lain fareb de ke wagarna main
wo tilism-e-alam-e-raaz hun ki raha hun muddaton raaz mein

kisi tarah ho to gai sahar magar ab ye Dar hai laga hua
meri sham-e-gham na sharik ho kahin un ki zulf-e-daraaz mein

wo tilism-e-gumshudagi hun main ki baqa hai apni fana mujhe
meri KHamushi hai nawa-gari main nihan hun parda-e-saz mein

(332) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kabhi Parda-dar Hun Main Raaz Ka Kabhi Hun Main Parda-e-raaz Mein written by Taufeeq Hyderabadi at UrduPoint. Kabhi Parda-dar Hun Main Raaz Ka Kabhi Hun Main Parda-e-raaz Mein is one of the masterpieces written by Taufeeq Hyderabadi. You can also find the complete poetry collection of Taufeeq Hyderabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Taufeeq Hyderabadi' above.

Kabhi Parda-dar Hun Main Raaz Ka Kabhi Hun Main Parda-e-raaz Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kabhi Parda-dar Hun Main Raaz Ka Kabhi Hun Main Parda-e-raaz Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.