Faqiron Ka Chalan Yun Jism Ke Andar Mahakta Hai, Urdu Ghazal By Taufeeq Sagar

Faqiron Ka Chalan Yun Jism Ke Andar Mahakta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Taufeeq Sagar. Faqiron Ka Chalan Yun Jism Ke Andar Mahakta Hai comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Faqiron Ka Chalan Yun Jism Ke Andar Mahakta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فقیروں کا چلن یوں جسم کے اندر مہکتا ہے

توفیق ساگر

فقیروں کا چلن یوں جسم کے اندر مہکتا ہے

مری پگڑی بھی گر جائے تو میرا سر مہکتا ہے

وہ اپنے ہاتھ میں اک پھول بھی لے کر نہیں آیا

مگر جیسے کوئی گلشن مرے اندر مہکتا ہے

مجھے دیکھے بنا اس کا کبھی چہرا نہیں کھلتا

عجب خوشبو کا جھونکا ہے مجھے چھو کر مہکتا ہے

پری کی داستانوں سے معطر ہے ادھر آنگن

ادھر سالن کی خوشبو میں رسوئی گھر مہکتا ہے

یہ مانا سب کے ہاتھوں میں یہاں کشکول ہے لیکن

یہی وہ گاؤں ہے ہر دن جہاں لنگر مہکتا ہے

نہ جانے خواب کے ٹوٹے کھنڈر میں کون آیا تھا

کبھی کمرہ مہکتا ہے کبھی بستر مہکتا ہے

مرے لہجے میں گھلتی جا رہی ہے یوں تری خوشبو

کوئی بھی آئنہ دیکھوں ترا پیکر مہکتا ہے

سلیقہ یوں بھٹکنے کا سکھایا ہے فقیروں نے

جدھر سے ہم گزر جائیں وہاں گھر گھر مہکتا ہے

نہ جانے گاؤں کے پنگھٹ میں ساگرؔ کون آیا تھا

ابھی تک دیکھیے تالاب کا پتھر مہکتا ہے

توفیق ساگر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Faqiron Ka Chalan Yun Jism Ke Andar Mahakta Hai

Taufeeq Sagar

faqiron ka chalan yun jism ke andar mahakta hai
meri pagDi bhi gir jae to mera sar mahakta hai

wo apne hath mein ek phul bhi le kar nahin aaya
magar jaise koi gulshan mere andar mahakta hai

mujhe dekhe bina us ka kabhi chehra nahin khilta
ajab KHushbu ka jhonka hai mujhe chhu kar mahakta hai

pari ki dastanon se moattar hai udhar aangan
idhar salan ki KHushbu mein rasoi ghar mahakta hai

ye mana sab ke hathon mein yahan kashkol hai lekin
yahi wo ganw hai har din jahan langar mahakta hai

na jaane KHwab ke TuTe khanDar mein kaun aaya tha
kabhi kamra mahakta hai kabhi bistar mahakta hai

mere lahje mein ghulti ja rahi hai yun teri KHushbu
koi bhi aaina dekhun tera paikar mahakta hai

saliqa yun bhaTakne ka sikhaya hai faqiron ne
jidhar se hum guzar jaen wahan ghar ghar mahakta hai

na jaane ganw ke panghaT mein 'sagar' kaun aaya tha
abhi tak dekhiye talab ka patthar mahakta hai

(472) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Faqiron Ka Chalan Yun Jism Ke Andar Mahakta Hai written by Taufeeq Sagar at UrduPoint. Faqiron Ka Chalan Yun Jism Ke Andar Mahakta Hai is one of the masterpieces written by Taufeeq Sagar. You can also find the complete poetry collection of Taufeeq Sagar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Taufeeq Sagar' above.

Faqiron Ka Chalan Yun Jism Ke Andar Mahakta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Faqiron Ka Chalan Yun Jism Ke Andar Mahakta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.