Paikar-e-KHaki Ye Mana Maut Se Do-chaar Hai, Urdu Ghazal By Tauqeer Zaidi

Paikar-e-KHaki Ye Mana Maut Se Do-chaar Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tauqeer Zaidi. Paikar-e-KHaki Ye Mana Maut Se Do-chaar Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Paikar-e-KHaki Ye Mana Maut Se Do-chaar Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پیکر خاکی یہ مانا موت سے دو چار ہے

توقیر زیدی

پیکر خاکی یہ مانا موت سے دو چار ہے

زندگی تیرا مگر رستہ بہت دشوار ہے

جو ہے مفلس وہ زمانے میں ذلیل و خوار ہے

مال و زر ہو پاس جس کے صاحب کردار ہے

رس رہا ہے خوں بدن سے بھیگتا ہے پیرہن

زخم ہے میرے جگر کا یا کہ لالہ زار ہے

خون دل سے میں نے سینچا ہے تجھے اے زندگی

میرے ہی دم سے تو یہ چہرا ترا گلزار ہے

بھاپ بن کر اڑ گیا میری رگ جاں سے لہو

بارشیں اب خون کی ہوں گی یہی آثار ہے

جانے کس کی جستجو یہ کر رہے ہیں روز و شب

چاند سورج کے لئے اک منزل دشوار ہے

بک رہے ہیں دین و ایماں بک رہے ہیں جسم و جاں

یہ جہان آرزو اک مصر کا بازار ہے

آپ کے دل کا معمہ ذہن نے حل کر لیا

آپ کے انکار ہی میں آپ کا اقرار ہے

منفرد میری زباں ہے خوب تر میرا بیاں

فکر کا توقیرؔ اک دریا پس دیوار ہے

توقیر زیدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Paikar-e-KHaki Ye Mana Maut Se Do-chaar Hai

Tauqeer Zaidi

paikar-e-KHaki ye mana maut se do-chaar hai
zindagi tera magar rasta bahut dushwar hai

jo hai muflis wo zamane mein zalil-o-KHwar hai
mal-o-zar ho pas jis ke sahab-e-kirdar hai

ris raha hai KHun badan se bhigta hai pairahan
zaKHm hai mere jigar ka ya ki lala-zar hai

KHun-e-dil se main ne sincha hai tujhe ai zindagi
mere hi dam se to ye chehra tera gulzar hai

bhap ban kar uD gaya meri rag-e-jaan se lahu
barishen ab KHun ki hongi yahi aasar hai

jaane kis ki justuju ye kar rahe hain roz-o-shab
chand suraj ke liye ek manzil-e-dushwar hai

bik rahe hain din-o-iman bik rahe hain jism-o-jaan
ye jahan-e-arzu ek misr ka bazar hai

aap ke dil ka muamma zehn ne hal kar liya
aap ke inkar hi mein aap ka iqrar hai

munfarid meri zaban hai KHub-tar mera bayan
fikr ka 'tauqir' ek dariya pas-e-diwar hai

(418) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Paikar-e-KHaki Ye Mana Maut Se Do-chaar Hai written by Tauqeer Zaidi at UrduPoint. Paikar-e-KHaki Ye Mana Maut Se Do-chaar Hai is one of the masterpieces written by Tauqeer Zaidi. You can also find the complete poetry collection of Tauqeer Zaidi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tauqeer Zaidi' above.

Paikar-e-KHaki Ye Mana Maut Se Do-chaar Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Paikar-e-KHaki Ye Mana Maut Se Do-chaar Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.