Faza Mein Zahr Ghola Humne KHud Ab Dam Nikalta Hai, Urdu Ghazal By Tauqeer Zaidi

Faza Mein Zahr Ghola Humne KHud Ab Dam Nikalta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tauqeer Zaidi. Faza Mein Zahr Ghola Humne KHud Ab Dam Nikalta Hai comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Faza Mein Zahr Ghola Humne KHud Ab Dam Nikalta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فضا میں زہر گھولا ہم نے خود اب دم نکلتا ہے

توقیر زیدی

فضا میں زہر گھولا ہم نے خود اب دم نکلتا ہے

اجل کا پیرہن اوڑھے ہر اک موسم نکلتا ہے

بھٹکتے کیوں ہیں مرہم کے لئے ہم دشت و صحرا میں

ہمارے زخم کے اندر ہی سے مرہم نکلتا ہے

ہمارے جسم کے اندر بسے ہیں سیکڑوں عالم

ہر اک عالم کے اندر اک نیا عالم نکلتا ہے

ہماری کامرانی نے کیا سورج کو بھی زخمی

کہ اک سایہ ہمارے جسم سے پر خم نکلتا ہے

ہمارے قلب کے اندر بہت ہی پاک جذبے ہیں

کبھی گنگوتری نکلی کبھی زمزم نکلتا ہے

تبسم سے کسی کا کرب کیا جانے بھلا دنیا

کہ شعلوں کا سمندر بھی پس شبنم نکلتا ہے

یہ دنیا جس کی خاطر بھاگتا پھرتا ہے یہ انساں

تو پھر کیوں بطن‌ مادر سے بہ چشم نم نکلتا ہے

جلایا ہے بہت ہی آتش افکار نے اس کو

کہ آنسو بھی ہماری آنکھوں سے پر نم نکلتا ہے

تڑپ کر آگ اگلتی ہے زمیں اپنے دہانے سے

تو کرتا ابر بھی اب گریہ و ماتم نکلتا ہے

زمانہ کیا بھلا توقیرؔ جانے دوسرے کا غم

اسے معلوم ہوتا ہے کہ جس کا دم نکلتا ہے

توقیر زیدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Faza Mein Zahr Ghola Humne KHud Ab Dam Nikalta Hai

Tauqeer Zaidi

faza mein zahr ghola hum ne KHud ab dam nikalta hai
ajal ka pairahan oDhe har ek mausam nikalta hai

bhaTakte kyon hain marham ke liye hum dasht-o-sahra mein
hamare zaKHm ke andar hi se marham nikalta hai

hamare jism ke andar base hain saikDon 'alam
har ek 'alam ke andar ek naya 'alam nikalta hai

hamari kaamrani ne kiya suraj ko bhi zaKHmi
ki ek saya hamare jism se pur-KHam nikalta hai

hamare qalb ke andar bahut hi pak jazbe hain
kabhi gangotari nikli kabhi zamzam nikalta hai

tabassum se kisi ka karb kya jaane bhala duniya
ki sho'lon ka samundar bhi pas-e-shabnam nikalta hai

ye duniya jis ki KHatir bhagta phirta hai ye insan
to phir kyon batn-e-madar se ba-chashm-e-nam nikalta hai

jalaya hai bahut hi aatish-e-afkar ne is ko
ki aansu bhi hamari aankhon se pur-nam nikalta hai

taDap kar aag ugalti hai zamin apne dahane se
to karta abr bhi ab girya-o-matam nikalta hai

zamana kya bhala 'tauqir' jaane dusre ka gham
use ma'lum hota hai ki jis ka dam nikalta hai

(363) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Faza Mein Zahr Ghola Humne KHud Ab Dam Nikalta Hai written by Tauqeer Zaidi at UrduPoint. Faza Mein Zahr Ghola Humne KHud Ab Dam Nikalta Hai is one of the masterpieces written by Tauqeer Zaidi. You can also find the complete poetry collection of Tauqeer Zaidi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tauqeer Zaidi' above.

Faza Mein Zahr Ghola Humne KHud Ab Dam Nikalta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Faza Mein Zahr Ghola Humne KHud Ab Dam Nikalta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.