Kya Taraqqi Ke Alam-bardar Andhe Ho Gae, Urdu Ghazal By Ustad Rampuri

Kya Taraqqi Ke Alam-bardar Andhe Ho Gae is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ustad Rampuri. Kya Taraqqi Ke Alam-bardar Andhe Ho Gae comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Kya Taraqqi Ke Alam-bardar Andhe Ho Gae on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کیا ترقی کے علمبردار اندھے ہو گئے

استاد رامپوری

کیا ترقی کے علمبردار اندھے ہو گئے

دو کو بینائی ملی تو چار اندھے ہو گئے

جن کا نعرہ تھا نقاب رخ اٹھا جلوہ دکھا

جب نظر آیہ جمال یار اندھے ہو گئے

ہر ستم کے باد اس نے مسکرا کر بات کی

یہ وفور شوق میں ہر بار اندھے ہو گئے

خود غرض ہیں عالم و واعظ شکم‌‌ پرور ہیں پیر

فوج کیا کرتی سپہ سالار اندھے ہو گئے

غیر کی گردن میں بانہیں میری گردن پر چھری

آپ کو کیا ہو گیا سرکار اندھے ہو گئے

کاروان علم و فن جائے نہ جانے کس طرف

اور مجھ جیسے اگر دو چار اندھے ہو گئے

کور چشمی پر ہنسا کوئی تو اندازہ ہوا

ہم کسی کے عشق میں بیکار اندھے ہو گئے

اہل کشتی کیا کریں ہے ناخداؤں کا یہ حال

آ گئی جب ہاتھ میں پتوار اندھے ہو گئے

آپ کو اشعار میں خوبی نظر آتی نہیں

میری استادی سے ہے انکار اندھے ہو گئے

استاد رامپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kya Taraqqi Ke Alam-bardar Andhe Ho Gae

Ustad Rampuri

kya taraqqi ke alam-bardar andhe ho gae
do ko binai mili to chaar andhe ho gae

jin ka nara tha naqab-e-ruKH uTha jalwa dikha
jab nazar aaya jamal-e-yar andhe ho gae

har sitam ke baad us ne muskura kar baat ki
ye wufur-e-shauq mein har bar andhe ho gae

KHud-gharaz hain aalim-o-waiz shikam-parwar hain pir
fauj kya karti sipah-salar andhe ho gae

ghair ki gardan mein banhen meri gardan par chhuri
aap ko kya ho gaya sarkar andhe ho gae

karwan-e-ilm-o-fan jae na jaane kis taraf
aur mujh jaise agar do-chaar andhe ho gae

kor-chashmi par hansa koi to andaza hua
hum kisi ke ishq mein be-kar andhe ho gae

ahl-e-kashti kya karen hai na-KHudaon ka ye haal
aa gai jab hath mein patwar andhe ho gae

aap ko ashaar mein KHubi nazar aati nahin
meri ustadi se hai inkar andhe ho gae

(105) ووٹ وصول ہوئے

You can read Kya Taraqqi Ke Alam-bardar Andhe Ho Gae written by Ustad Rampuri at UrduPoint. Kya Taraqqi Ke Alam-bardar Andhe Ho Gae is one of the masterpieces written by Ustad Rampuri. You can also find the complete poetry collection of Ustad Rampuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ustad Rampuri' above.

Kya Taraqqi Ke Alam-bardar Andhe Ho Gae is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kya Taraqqi Ke Alam-bardar Andhe Ho Gae, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.